aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Azmat Abdul Qayyum Khan's Photo'

Azmat Abdul Qayyum Khan

1922 | Hyderabad, India

Azmat Abdul Qayyum Khan

Sher-o-Shayari 17

manzil pe nazar aa.ī bahut dūrī-e-manzil

be-sāḳhta aane lage sab rāh-numā yaad

manzil pe nazar aai bahut duri-e-manzil

be-saKHta aane lage sab rah-numa yaad

  • Share this

zindagānī lutf to 'azmat'

sirf tūfān panāh meñ hai

zindagani ka lutf to 'azmat'

sirf tufan ki panah mein hai

  • Share this

ye baat bhī hai ki bhī nahīñ hai ab merā

ye baat bhī hai ki tere sivā nahīñ koī

ye baat bhi hai ki tu bhi nahin hai ab mera

ye baat bhi hai ki tere siwa nahin koi

  • Share this

raushniyoñ ke shahar meñ rah kar

ham añdheroñ se rū-shanās rahe

raushniyon ke shahar mein rah kar

hum andheron se ru-shanas rahe

  • Share this

maut pahroñ udaas rahtī hai

ham agar zindagī se milte haiñ

maut pahron udas rahti hai

hum agar zindagi se milte hain

  • Share this

Ghazal 4

 

Nazm 1

 

BOOKS 6

 

More Authors From "Hyderabad"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now