Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Umair Manzar's Photo'

Umair Manzar

1974 | Lucknow, India

Umair Manzar

Ghazal 6

Sher-o-Shayari 11

baḌhte chale ga.e jo vo manzil ko ga.e

maiñ pattharoñ se paañv bachāne meñ rah gayā

baDhte chale gae jo wo manzil ko pa gae

main pattharon se panw bachane mein rah gaya

sāthī mire kahāñ se kahāñ tak pahuñch ga.e

maiñ zindagī ke naaz uThāne meñ rah gayā

sathi mere kahan se kahan tak pahunch gae

main zindagi ke naz uThane mein rah gaya

yahāñ ham ne kisī se dil lagāyā nahīñ 'manzar'

ki is duniyā se āḳhir ek din be-zār honā thā

yahan hum ne kisi se dil lagaya hi nahin 'manzar'

ki is duniya se aaKHir ek din be-zar hona tha

marhale aur aane vaale haiñ

tiir apnā abhī kamān meñ rakh

marhale aur aane wale hain

tir apna abhi kaman mein rakh

ye to sach hai ki vo sitamgar hai

dar par aayā hai to amaan meñ rakh

ye to sach hai ki wo sitamgar hai

dar par aaya hai to aman mein rakh

BOOKS 22

Audios 5

banaa ke vahm o gumaa.n kii duniyaa haqiiqato.n ke saraab dekhuu.n

ilm o fan ke raaz-e-sar-basta ko vaa kartaa hu.aa

jab insaan ko apnaa kuchh idraak hu.aa

Recitation

More Poets From "Lucknow"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now