aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
aah kartā huuñ to aate haiñ pasīne un ko
naala kartā huuñ to rātoñ ko vo Dar jaate haiñ
aah karta hun to aate hain pasine un ko
nala karta hun to raaton ko wo Dar jate hain
ajab terī hai ai mahbūb sūrat
nazar se gir ga.e sab ḳhūbsūrat
ajab teri hai ai mahbub surat
nazar se gir gae sab KHubsurat
agar dard-e-mohabbat se na insāñ āshnā hotā
na kuchh marne kā ġham hotā na jiine kā mazā hotā
agar dard-e-mohabbat se na insan aashna hota
na kuchh marne ka gham hota na jine ka maza hota
abhī haiñ qurb ke kuchh aur marhale baaqī
ki tujh ko pā ke hameñ phir tirī tamannā hai
abhi hain qurb ke kuchh aur marhale baqi
ki tujh ko pa ke hamein phir teri tamanna hai
rah ga.ī hai kuchh kamī to kyā shikāyat hai 'fahīm'
is jahāñ meñ sab adhūre haiñ mukammal kaun hai
rah gai hai kuchh kami to kya shikayat hai 'fahim'
is jahan mein sab adhure hain mukammal kaun hai
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books