aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
ahbāb ko de rahā huuñ dhokā
chehre pe ḳhushī sajā rahā huuñ
ahbab ko de raha hun dhoka
chehre pe KHushi saja raha hun
ghaas meñ jazb hue hoñge zamīñ ke aañsū
paañv rakhtā huuñ to halkī sī namī lagtī hai
ghas mein jazb hue honge zamin ke aansu
panw rakhta hun to halki si nami lagti hai
ye dil hai dil ise siine meñ hargiz
kabhī rakhnā na tum patthar banā ke
ye dil hai dil ise sine mein hargiz
kabhi rakhna na tum patthar bana ke
huuñ is kūche ke har zarre se āgāh
idhar se muddatoñ aayā gayā huuñ
hun is kuche ke har zarre se aagah
idhar se muddaton aaya gaya hun
mere hālāt ne yuuñ kar diyā patthar mujh ko
dekhne vāloñ ne dekhā bhī na chhū kar mujh ko
mere haalat ne yun kar diya patthar mujh ko
dekhne walon ne dekha bhi na chhu kar mujh ko
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books