aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
aql kahtī hai dobāra āzmānā jahl hai
dil ye kahtā hai fareb-e-dost khāte jā.iye
aql kahti hai dobara aazmana jahl hai
dil ye kahta hai fareb-e-dost khate jaiye
faqat nigāh se hotā hai faisla dil kā
na ho nigāh meñ shoḳhī to dilbarī kyā hai
faqat nigah se hota hai faisla dil ka
na ho nigah mein shoKHi to dilbari kya hai
us shaḳhs ke ġham kā koī andāza lagā.e
jis ko kabhī rote hue dekhā na kisī ne
us shaKHs ke gham ka koi andaza lagae
jis ko kabhi rote hue dekha na kisi ne
ik aag hamārī muntazir hai
ik aag se ham nikal rahe haiñ
ek aag hamari muntazir hai
ek aag se hum nikal rahe hain
kis kis ko batā.eñge judā.ī kā sabab ham
tū mujh se ḳhafā hai to zamāne ke liye aa
kis kis ko bataenge judai ka sabab hum
tu mujh se KHafa hai to zamane ke liye aa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books