aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
ye sānehe dil-e-ġham-ghīñ huā hī karte haiñ
na ishq hī kī ḳhatā hai na husn hī kā qusūr
ye sanehe dil-e-gham-ghin hua hi karte hain
na ishq hi ki KHata hai na husn hi ka qusur
ham ne chāhā thā terī chaal chaleñ
haa.e ham apnī chaal se bhī ga.e
hum ne chaha tha teri chaal chalen
hae hum apni chaal se bhi gae
ham charāġhoñ kī madad karte rahe
aur udhar sūraj bujhā Daalā gayā
hum charaghon ki madad karte rahe
aur udhar suraj bujha Dala gaya
hijr meñ jalte hue us ko kahāñ dekh sakā
itnī tāḳhīr huī sirf dhuāñ dekh sakā
hijr mein jalte hue us ko kahan dekh saka
itni taKHir hui sirf dhuan dekh saka
sab kī apnī manzileñ thiiñ sab ke apne rāste
ek āvāra phire ham dar-ba-dar sab se alag
sab ki apni manzilen thin sab ke apne raste
ek aawara phire hum dar-ba-dar sab se alag
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books