aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
rañg-e-mahfil chāhtā hai ik mukammal inqalāb
chand sham.oñ ke bhaḌakne se sahar hotī nahīñ
rang-e-mahfil chahta hai ek mukammal inqalab
chand shamon ke bhaDakne se sahar hoti nahin
fikr-e-ma.āsh mātam-e-dil aur ḳhayāl-e-yār
tum sab se ma.azarat ki tabī.at udaas hai
fikr-e-maash matam-e-dil aur KHayal-e-yar
tum sab se mazarat ki tabiat udas hai
tere naam kā taarā jaane kab dikhā.ī de
ik jhalak kī ḳhātir ham raat bhar Tahalte haiñ
tere nam ka tara jaane kab dikhai de
ek jhalak ki KHatir hum raat bhar Tahalte hain
ham intizār kareñ ham ko itnī taab nahīñ
pilā do tum hameñ paanī agar sharāb nahīñ
hum intizar karen hum ko itni tab nahin
pila do tum hamein pani agar sharab nahin
qāsid payām-e-shauq ko denā bahut na tuul
kahnā faqat ye un se ki āñkheñ taras ga.iiñ
qasid payam-e-shauq ko dena bahut na tul
kahna faqat ye un se ki aankhen taras gain
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books