aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Raaz Allahabadi's Photo'

Raaz Allahabadi

1929 - 1996 | Allahabad, India

Raaz Allahabadi

Ghazal 7

Sher-o-Shayari 4

āshiyāñ jal gayā gulsitāñ luT gayā ham qafas se nikal kar kidhar jā.eñge

itne mānūs sayyād se ho ga.e ab rihā.ī milegī to mar jā.eñge

aashiyan jal gaya gulsitan luT gaya hum qafas se nikal kar kidhar jaenge

itne manus sayyaad se ho gae ab rihai milegi to mar jaenge

ashk-e-ġham le ke āḳhir kidhar jaa.eñ ham āñsuoñ yahāñ koī qīmat nahīñ

aap apnā dāman baḌhā dījiye varna motī zamīñ par bikhar jā.eñge

ashk-e-gham le ke aaKHir kidhar jaen hum aansuon ki yahan koi qimat nahin

aap hi apna daman baDha dijiye warna moti zamin par bikhar jaenge

ye merī tamannā hai pyāsoñ ke maiñ kaam aa.uuñ

yārab mirī miTTī ko paimāna banā denā

ye meri tamanna hai pyason ke main kaam aaun

yarab meri miTTi ko paimana bana dena

  • Share this

umr juuñ juuñ baḌhtī hai dil javān hotā hai

'rāz' ye hasīñ ġhazleñ in safed bāloñ meñ

umr jun jun baDhti hai dil jawan hota hai

'raaz' ye hasin ghazlen in safed baalon mein

  • Share this

BOOKS 4

 

Videos 6

This video is playing from YouTube

Playing videos from section
Poet reciting own poetry
aashiyaa.n jal gayaa, gulsitaa.n luT gayaa, ham qafas se nikal kar kidhar jaa.e.nge

Raaz Allahabadi

aashiyaa.n jal gayaa, gulsitaa.n luT gayaa, ham qafas se nikal kar kidhar jaa.e.nge

Raaz Allahabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now