aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Tripurari's Photo'

Tripurari

1986 | Mumbai, India

Sher of Tripurari

4.1K
Favorite

SORT BY

ai havā use eid-mubārak kahiyo

aur kahiyo ki koī yaad kiyā kartā hai

ai hawa tu hi use eid-mubarak kahiyo

aur kahiyo ki koi yaad kiya karta hai

kitnī dilkash haiñ ye bārish phuvāreñ lekin

aisī bārish meñ mirī jaan bhī saktī hai

kitni dilkash hain ye barish ki phuwaren lekin

aisi barish mein meri jaan bhi ja sakti hai

tum jise chāñd kahte ho vo asl meñ

āsmāñ ke badan par koī ghaav hai

tum jise chand kahte ho wo asl mein

aasman ke badan par koi ghaw hai

mohabbat meñ shikāyat kar rahā huuñ

shikāyat meñ mohabbat kar rahā huuñ

mohabbat mein shikayat kar raha hun

shikayat mein mohabbat kar raha hun

jise tum DhūñDtī rahtī ho mujh meñ

vo laḌkā jaane kab mar chukā hai

jise tum DhunDti rahti ho mujh mein

wo laDka jaane kab ka mar chuka hai

niiñd aa.e to kuchh surāġh mile

kaun hai dafn mere ḳhvāboñ meñ

nind aae to kuchh suragh mile

kaun hai dafn mere KHwabon mein

ye bārish kab rukegī kaun jaane

kahīñ maiñ mar na jā.ūñ tishnagī se

ye barish kab rukegi kaun jaane

kahin main mar na jaun tishnagi se

sher paḌhte hue ye tum ne kabhī sochā hai

sher kahte hue maiñ kitnī dafa.a martā huuñ

sher paDhte hue ye tum ne kabhi socha hai

sher kahte hue main kitni dafa marta hun

ek tasvīr banā.ī hai ḳhayāloñ ne abhī

aur tasvīr se ik shaḳhs nikal aayā hai

ek taswir banai hai KHayalon ne abhi

aur taswir se ek shaKHs nikal aaya hai

ek kirdār nayā roz jiyā kartā huuñ

mujh ko shā.er na kaho ek adākār huuñ maiñ

ek kirdar naya roz jiya karta hun

mujh ko shaer na kaho ek adakar hun main

kisī par bhī yaqīñ kar lete ho tum

tumhāre saath kyā dhoka huā hai

kisi par bhi yaqin kar lete ho tum

tumhaare sath kya dhoka hua hai

ka.ī lāsheñ haiñ mujh meñ dafn ya.anī

maiñ qabristān huuñ shurūāt se

kai lashen hain mujh mein dafn yani

main qabristan hun shuruat hi se

jin se milnā na huā un se bichhaḌ kar ro.e

ham to āñkhoñ har ik had se guzar kar ro.e

jin se milna na hua un se bichhaD kar roe

hum to aankhon ki har ek had se guzar kar roe

umr bhar laḌtā rahā huuñ us se

vo jo ik shaḳhs kabhī thā nahīñ

umr bhar laDta raha hun us se

wo jo ek shaKHs kabhi tha hi nahin

tum mire paas na aao ki yahī behtar hai

paas aane se to pahchān bhī saktī hai

tum mere pas na aao ki yahi behtar hai

pas aane se to pahchan bhi ja sakti hai

maiñ hāsil ho chukā huuñ jis badan ko

usī se pūchhtā huuñ kyā milā hai

main hasil ho chuka hun jis badan ko

usi se puchhta hun kya mila hai

pyaas aisī thī ki maiñ saarā samundar gayā

par mire hoñToñ ke ye donoñ kināre jal ga.e

pyas aisi thi ki main sara samundar pi gaya

par mere honTon ke ye donon kinare jal gae

qatl karnā hai na.e ḳhvāb so Dartā huuñ

kaañp jaa.eñ na mire haath ye ḳhuuñ karte hue

qatl karna hai nae KHwab ka so Darta hun

kanp jaen na mere hath ye KHun karte hue

maiñ tire jism ke jab paar nikal jā.ūñgā

vasl raat baḌī ġhaur-talab hogī vo

main tere jism ke jab par nikal jaunga

wasl ki raat baDi ghaur-talab hogi wo

jab se guzrā hai kisī husn ke bāzār se dil

dil ko mahsūs ye hotā hai ki bāzār huuñ maiñ

jab se guzra hai kisi husn ke bazar se dil

dil ko mahsus ye hota hai ki bazar hun main

ruuh hai tarjuma pāniyoñ agar

jism ya.anī samundar meñ ik naav hai

ruh hai tarjuma paniyon ka agar

jism yani samundar mein ek naw hai

maiñ apne darmiyāñ se haT chukā huuñ

to phir kyā darmiyāñ rakkhā huā hai

main apne darmiyan se haT chuka hun

to phir kya darmiyan rakkha hua hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now