Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Aish Meeruthi

1916 | Meerut, India

Aish Meeruthi

Sher-o-Shayari 8

āñkhoñ ko tamanna hai ḳhāk-e-dar-e-jānāñ

ḳhāk-e-dar-e-har-kūcha iksīr nahīñ hotī

aankhon ko tamanna hai KHak-e-dar-e-jaanan ki

KHak-e-dar-e-har-kucha iksir nahin hoti

baḌhtī rahī nigāh bahakte rahe qadam

guzrā hai is tarah bhī zamāna shabāb

baDhti rahi nigah bahakte rahe qadam

guzra hai is tarah bhi zamana shabab ka

karūñ kis gila kahte hue bhī sharm aatī hai

raqīb afsos apne purāne āshnā nikle

karun kis ka gila kahte hue bhi sharm aati hai

raqib afsos apne hi purane aashna nikle

merī jannat tirī nigāh-e-karam

mujh se phir jaa.e ye ḳhudā na kare

meri jannat teri nigah-e-karam

mujh se phir jae ye KHuda na kare

saa.il aayā hai tire dar pe ḳhudī ko kho kar

dekhnā hai mujhe kyā aaj 'atā hotā hai

sail aaya hai tere dar pe KHudi ko kho kar

dekhna hai mujhe kya aaj 'ata hota hai

Ghazal 9

BOOKS 3

 

More Authors From "Meerut"

 

Recitation

Speak Now