Sher of Bazagh Bihari
mas.ala ho sāmne to is kā hal bhī chāhiye
jab galā achchhā ho to achchhī ġhazal bhī chāhiye
masala ho samne to is ka hal bhi chahiye
jab gala achchha ho to achchhi ghazal bhi chahiye
tiin beTe the ḳhudā ke fazl se mere magar
innā lillāh āḳhirī beTā bhī shā.ir ho gayā
tin beTe the KHuda ke fazl se mere magar
inna lillah aaKHiri beTa bhi shair ho gaya
vo kitnī jhiḌkiyāñ khāte haiñ sub.h-o-shām biivī kī
magar vaa.iz ko dekhā aap ne āh-o-fuġhāñ karte
wo kitni jhiDkiyan khate hain subh-o-sham biwi ki
magar waiz ko dekha aap ne aah-o-fughan karte
uThāyā jis ne bhī juutā baḌhāyā sar ham ne
qusūr-vār bas apnā hī sar lage hai hameñ
uThaya jis ne bhi juta baDhaya sar hum ne
qusur-war bas apna hi sar lage hai hamein
muñh apnā ek baar jalā thā jo duudh se
piine lage haiñ phūñk ke maThThā tabhī se ham
munh apna ek bar jala tha jo dudh se
pine lage hain phunk ke maThTha tabhi se hum
ḳhushbū-e-murġh aatī hai har lafz lafz se
karte haiñ guftugū jo kisī maulvī se ham
KHushbu-e-murgh aati hai har lafz lafz se
karte hain guftugu jo kisi maulwi se hum
baḌā ehsān hai begam sudhārā aap ne mujh ko
vagarna zindagī kaTtī mirī ḳhar-mastiyāñ karte
baDa ehsan hai begam sudhaara aap ne mujh ko
wagarna zindagi kaTti meri KHar-mastiyan karte