Sher of Charagh Sharma
unhoñ ne apne mutābiq sazā sunā dī hai
hameñ sazā ke mutābiq bayān denā hai
unhon ne apne mutabiq saza suna di hai
hamein saza ke mutabiq bayan dena hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab ke milī shikast mirī or se mujhe
jitvā diyā gayā kisī kamzor se mujhe
ab ke mili shikast meri or se mujhe
jitwa diya gaya kisi kamzor se mujhe
ḳhatā.eñ is liye kartā huuñ maiñ ki jāntā huuñ
sazā mujhe hī milegī ḳhatā karūñ na karūñ
KHataen is liye karta hun main ki jaanta hun
saza mujhe hi milegi KHata karun na karun
haath bhar duurī pe hai qismat kī chābī aap kī
ek chhoTā sā qadam aur kāmyābī aap kī
hath bhar duri pe hai qismat ki chabi aap ki
ek chhoTa sa qadam aur kaamyabi aap ki
maiñ ne qubūl kar liyā chup chaap vo gulāb
jo shāḳh de rahī thī tirī or se mujhe
main ne qubul kar liya chup chap wo gulab
jo shaKH de rahi thi teri or se mujhe
tumheñ ye ġham hai ki ab chiTThiyāñ nahīñ ātīñ
hamārī socho hameñ hichkiyāñ nahīñ ātīñ
tumhein ye gham hai ki ab chiTThiyan nahin aatin
hamari socho hamein hichkiyan nahin aatin
vo shānt baiThā hai kab se maiñ shor kyoñ na karūñ
bas ek baar vo kah de ki chup to chuuñ na karūñ
wo shant baiTha hai kab se main shor kyon na karun
bas ek bar wo kah de ki chup to chun na karun
koī ḳhat-vat nahīñ phāḌā koī tohfa nahīñ toḌā
ki vo dekhe to ḳhud soche ki dil toḌā nahīñ toḌā
koi KHat-wat nahin phaDa koi tohfa nahin toDa
ki wo dekhe to KHud soche ki dil toDa nahin toDa
'mīr' jī ishq maanā ki ne.amat nahīñ par maiñ is ko balā bhī nahīñ māntā
māntā huuñ ḳhudā-e-suḳhan bhī tumheñ aur hukm-e-ḳhudā bhī nahīñ māntā
'mir' ji ishq mana ki neamat nahin par main is ko bala bhi nahin manta
manta hun KHuda-e-suKHan bhi tumhein aur hukm-e-KHuda bhi nahin manta
-
Tag : Meer Taqi Meer
nazreñ milīñ to baat nahīñ kar sakūñgā maiñ
do kaam ek saath nahīñ kar sakūñgā maiñ
nazren milin to baat nahin kar sakunga main
do kaam ek sath nahin kar sakunga main
auroñ kī pyaas aur hai aur us kī pyaas aur
kahtā hai har gilās pe bas ik gilās aur
auron ki pyas aur hai aur us ki pyas aur
kahta hai har gilas pe bas ek gilas aur
kisī se baat karnā itnā mushkil bhī nahīñ thā
kisī ne baat kī hotī to us se baat karte
kisi se baat karna itna mushkil bhi nahin tha
kisi ne baat ki hoti to us se baat karte
banānā jānte ho tum to sab ke dil meñ jagah
hamāre dil meñ banā kar dikhāo aao banāo
banana jaante ho tum to sab ke dil mein jagah
hamare dil mein bana kar dikhao aao banao
nikāl laayā jo mujh ko lahroñ kī sāzishoñ se
mujhe samundar se ab vo tinkā nikālnā hai
nikal laya jo mujh ko lahron ki sazishon se
mujhe samundar se ab wo tinka nikalna hai
koī us būḌhe pīpal se kah aao
pinjre meñ ham ḳhuub maze se uḌte haiñ
koi us buDhe pipal se kah aao
pinjre mein hum KHub maze se uDte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham āshiq-e-ġhazal haiñ to maġhrūr kyoñ na hoñ
āḳhir ye shauq bhī to navāboñ kā shauq hai
hum aashiq-e-ghazal hain to maghrur kyon na hon
aaKHir ye shauq bhi to nawabon ka shauq hai
-
Tag : Attitude
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ kab se mauqe kī taak meñ huuñ us ko
jān-e-man kah duuñ jaane anjāne meñ
main kab se mauqe ki tak mein hun us ko
jaan-e-man kah dun jaane anjaane mein
ai pyaar bāñTne vaale maiñ ḳhuub jāntā huuñ
ki kitnī der meñ machhvārā jaal khīñchtā hai
ai pyar banTne wale main KHub jaanta hun
ki kitni der mein machhwara jal khinchta hai
uThīñ nazreñ to nazroñ se gireñge
yahāñ nazroñ pe pahre baiThte haiñ
uThin nazren to nazron se girenge
yahan nazron pe pahre baiThte hain
charāġh raushan zarūr kar to par is se pahle ḳhudā kī ḳhātir
yahāñ pe phailā hai jo añdherā sameT zer-e-charāġh rakh de
charagh raushan zarur kar to par is se pahle KHuda ki KHatir
yahan pe phaila hai jo andhera sameT zer-e-charagh rakh de
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download