ALL
Profile
Ghazal30
Nazm31
Sher32
E-book41
Quote11
Tanz-o-Mazah31
Image Shayari6
Audio18
Video20
Article1
Gallery 2
Blog3
Ibn e Insha
Ghazal 30
Nazm 31
Sher-o-Shayari 32
kal chaudhvīñ kī raat thī shab bhar rahā charchā tirā
kuchh ne kahā ye chāñd hai kuchh ne kahā chehrā tirā
T'was a full moon out last night, all evening there was talk of you
Some people said it was the moon,and some said that it was you
kal chaudhwin ki raat thi shab bhar raha charcha tera
kuchh ne kaha ye chand hai kuchh ne kaha chehra tera
T'was a full moon out last night, all evening there was talk of you
Some people said it was the moon,and some said that it was you
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
raat aa kar guzar bhī jaatī hai
ik hamārī sahar nahīñ hotī
raat aa kar guzar bhi jati hai
ek hamari sahar nahin hoti
-
Share this
- See Ghazal
vo rāteñ chāñd ke saath ga.iiñ vo bāteñ chāñd ke saath ga.iiñ
ab sukh ke sapne kyā dekheñ jab dukh kā sūraj sar par ho
wo raaten chand ke sath gain wo baaten chand ke sath gain
ab sukh ke sapne kya dekhen jab dukh ka suraj sar par ho
-
Share this
- See Ghazal
Quote 11

Sach ye hai ki kaahili mein jo maza hai wo kaahil hi jaante hain. Bhaag-daud karne waale aur subah-subah uthne waale aur warzish-pasand is maze ko kya jaanein.

Aausat ka matlab bhi log ghalat samajhte hain. Hum bhi ghalat samajhte the. Japan mein suna tha ki har doosre aadmi ke paas car hai. Humne Tokyo mein pahle aadmi ki bahut talaash ki lekin hamesha doosra hi aadmi mila. Maaloom hua pahle aadmi door-daraaz ke dehaat mein rehte hain.

Duniya mein ye bahas hamesha se chali aa rahi hai ki anda pehle ya murghi. Kuch log kahte hain anda. Kuch ka kahna hai murghi. Eik ko hum murghi school ya firqa-e-murghia kah sakte hain. Doosre ko anda school. Humein anda school se munsalik samajhna chaahiye. Millat-e-baiza ka eik fard jaana chaahiye. Hamaara aqeeda is baat mein hai ki agar aadmi thaanedaar ya maulvi yaa'ni faqeeh-e-shahr ho to uske liye murghi pahle aur aisa ghareeb-e-shahr ho to uske liye anda pahle aur ghareeb-e-shahr se bhi gaya guzra ho to na uski dastaras murghi tak ho sakti hai na anda uski giraft mein aa sakta hai. Use apni zaat aur iski baqa ko in cheezon se pahle jaan'na chaahiye.

Button lagaane se ziyaada mushkil kaam button todna hai. Aur ye eik tarah se dhobiyon ka kaarobaari raaz hai. Humne ghar par kapde dhulwa kar aur pathkhwa kar dekha lekin kabhi is mein kaamiyaabi na hui jabki hamaara dhobi unhi paison mein jo hum dhulaai ke dete hain, poore button bhi saaf kar laata hai. Eik aur aasaani jo usne apne sarparaston ke liye faraaham ki hai, wo ye hai ki apne chhote bete ko apni laundry ke eik hisse mein buttonon ki dukaan khulwa di hai jahaan har tarah ke button ba-ri'aayat nirkhon par dastiyaab hain.

Tanz-o-Mazah 31
Article 1
BOOKS 41
Image Shayari 6
farz karo ham ahl-e-vafaa ho.n, farz karo diivaane ho.n farz karo ye dono.n baate.n jhuuTii ho.n afsaane ho.n farz karo ye jii kii biptaa jii se jo.D sunaa.ii ho farz karo abhii aur ho itnii aadhii ham ne chhupaa.ii ho farz karo tumhe.n KHush karne ke Dhuu.nDhe ham ne bahaane ho.n farz karo ye nain tumhaare sach-much ke mai-KHaane ho.n farz karo ye rog ho jhuuTaa jhuuTii piit hamaarii ho farz karo is piit ke rog me.n saa.ns bhii ham par bhaarii ho farz karo ye jog ba-jog kaa ham ne Dho.ng rachaayaa ho farz karo bas yahii haqiiqat baaqii sab kuchh maayaa ho dekh mirii jaa.n kah ga.e baahuu kaun dilo.n kii jaane 'huu' bastii bastii sahraa sahraa laakho.n kare.n divaane 'huu' jogii bhii jo nagar nagar me.n maare maare phirte hai.n kaasa liye bhabuut ramaa.e sab ke dvaare phirte hai.n shaa.ir bhii jo miiThii baanii bol ke man ko harte hai.n banjaare jo uu.nche daamo.n jii ke saude karte hai.n in me.n sachche motii bhii hai.n, in me.n kankar patthar bhii in me.n uthle paanii bhii hai.n, in me.n gahre saagar bhii gorii dekh ke aage ba.Dhnaa sab kaa jhuuTaa sachchaa 'huu' Duubne vaalii Duub ga.ii vo gha.Daa thaa jis kaa kachchaa 'huu'