Sher of Imdad Ali Bahr
dekhiye tark-e-adab kī kyā milī ta.azīr kal
piiTh hai sū-e-haram muñh hai sū-e-but-ḳhāna aaj
dekhiye tark-e-adab ki kya mili tazir kal
piTh hai su-e-haram munh hai su-e-but-KHana aaj
ri.āyat chāhiye aisī ki zebā.ī ho ma.anī kī
urūs-e-sher kā ai 'bahr' zevar ho to aisā ho
riayat chahiye aisi ki zebai ho mani ki
urus-e-sher ka ai 'bahr' zewar ho to aisa ho
aa.e bhī to khaa.e na gilaurī na malā itr
rokī mirī dāvat mujhe mehmāñ se gilā hai
aae bhi to khae na gilauri na mala itr
roki meri dawat mujhe mehman se gila hai
-
Tag : Paan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
takiya agar nasīb ho zānu-e-yār kā
maiñ aisī niiñd so.uuñ ki sābit ho mar gayā
takiya agar nasib ho zanu-e-yar ka
main aisi nind soun ki sabit ho mar gaya
kyā hai mujhe dete ho gilaurī
chūne meñ kahīñ na sañkhiyā ho
kya hai mujhe dete ho gilauri
chune mein kahin na sankhiya ho
-
Tag : Paan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo kūcha sher-o-suḳhan kā hai tañg-o-tār ai 'bahr'
ki sūjhte nahīñ ma.anī baḌe zahīnoñ ko
wo kucha sher-o-suKHan ka hai tang-o-tar ai 'bahr'
ki sujhte nahin mani baDe zahinon ko
mire qatl par tum ne biiḌā uThāyā
mire haath kā paan khāyā to hotā
mere qatl par tum ne biDa uThaya
mere hath ka pan khaya to hota
-
Tag : Paan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
āshiq se nāk-bhauñ na chaḌhā o kitāb-rū
ham dars-e-ishq meñ ye alif bhī paḌhe nahīñ
aashiq se nak-bhaun na chaDha o kitab-ru
hum dars-e-ishq mein ye alif bhi paDhe nahin
nahīñ jī chāhtā milne ko subuk-vaz.oñ se
kyā kareñ ham jo mizāj apnā girānī māñge
nahin ji chahta milne ko subuk-wazon se
kya karen hum jo mizaj apna girani mange
zālim hamārī aaj kī ye baat yaad rakh
itnā bhī dil-jaloñ kā satānā bhalā nahīñ
zalim hamari aaj ki ye baat yaad rakh
itna bhi dil-jalon ka satana bhala nahin
muḳhtār haiñ vo likkheñ na likkheñ javāb-e-ḳhat
sāhab ko roz apnā arīza report hai
muKHtar hain wo likkhen na likkhen jawab-e-KHat
sahab ko roz apna ariza report hai
yaar ko dekhte hī mar ga.e ai 'bahr' afsos
ḳhaak merī koī āñkhoñ meñ qazā kī jhoñke
yar ko dekhte hi mar gae ai 'bahr' afsos
KHak meri koi aankhon mein qaza ki jhonke
mire baġhair na ik-dam use qarār aatā
zarā bhī zabt jo mujh be-qarār meñ hotā
mere baghair na ik-dam use qarar aata
zara bhi zabt jo mujh be-qarar mein hota
dikhāyā us ne ban-Than kar vo jalva apnī sūrat kā
ki paanī phir gayā ā.īne par dariyā-e-hairat kā
dikhaya us ne ban-Than kar wo jalwa apni surat ka
ki pani phir gaya aaine par dariya-e-hairat ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
choTī guñdhvā.ī huī yaar ne khulvā Daalī
rahm aayā koī mahbūs-e-rasan yaad aayā
choTi gundhwai hui yar ne khulwa Dali
rahm aaya koi mahbus-e-rasan yaad aaya
zāhid sunā.ūñ vasf jo apnī sharāb ke
paḌhne lageñ darūd farishte savāb ke
zahid sunaun wasf jo apni sharab ke
paDhne lagen darud farishte sawab ke
ronā binā-e-ḳhāna-ḳhārābī hai misl-e-sham.a
Tapke jo saqf-e-chashm ho to qasr-e-tan ḳharāb
rona bina-e-KHana-KHarabi hai misl-e-shama
Tapke jo saqf-e-chashm ho to qasr-e-tan KHarab
koī phal pā.egā kyā tuḳhm-e-mohabbat bo kar
is amar-bel meñ to barg-o-samar kuchh bhī nahīñ
koi phal paega kya tuKHm-e-mohabbat bo kar
is amar-bel mein to barg-o-samar kuchh bhi nahin
apnī añgiyā kī kaTorī na dikhāo mujh ko
kahīñ Tharre kī havas meñ na ye mai-ḳhvār bañdhe
apni angiya ki kaTori na dikhao mujh ko
kahin Tharre ki hawas mein na ye mai-KHwar bandhe
teġh-e-irfāñ se ruuh bismil hai
haal par apne haal aatā hai
tegh-e-irfan se ruh bismil hai
haal par apne haal aata hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhush raho yaar agar ham se ho bezār bahut
dil agar apnā salāmat hai to dildār bahut
KHush raho yar agar hum se ho bezar bahut
dil agar apna salamat hai to dildar bahut
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pūchhe rindoñ se koī in muftiyoñ kā jhuuT sach
do dalīloñ se ye kar lete haiñ da.avā jhuuT sach
puchhe rindon se koi in muftiyon ka jhuT sach
do dalilon se ye kar lete hain dawa jhuT sach
kisī gul ko jo apnā turra-e-dastār samjhe ham
to barsoñ Tokrā sar par uThāyā sargirānī kā
kisi gul ko jo apna turra-e-dastar samjhe hum
to barson Tokra sar par uThaya sargirani ka
kyā kyā na mujh se sañg-dilī dilbaroñ ne kī
patthar paḌeñ samajh pe na samjhā kisī tarah
kya kya na mujh se sang-dili dilbaron ne ki
patthar paDen samajh pe na samjha kisi tarah
mujhī par qat.a huī hai qabā-e-dil-sozī
havā se aa ke chhupe mere pairahan meñ charāġh
mujhi par qata hui hai qaba-e-dil-sozi
hawa se aa ke chhupe mere pairahan mein charagh
qatl par biiḌā uThā kar teġh kyā bāñdhoge tum
lo ḳhabar apnī dahan gum hai kamar miltī nahīñ
qatl par biDa uTha kar tegh kya bandhoge tum
lo KHabar apni dahan gum hai kamar milti nahin
pyaar kī aañkh se dushman ko bhī jo dekhte haiñ
ham ne aise bhī haiñ allāh ke pyāre dekhe
pyar ki aankh se dushman ko bhi jo dekhte hain
hum ne aise bhi hain allah ke pyare dekhe
āñkheñ na jiine deñgī tirī be-vafā mujhe
kyuuñ khiḌkiyoñ se jhāñk rahī hai qazā mujhe
aankhen na jine dengi teri be-wafa mujhe
kyun khiDkiyon se jhank rahi hai qaza mujhe
zulf-e-dū-tā do-rāha-e-islām-o-kufr hai
zāhid idhar ḳharāb udhar barhaman ḳharāb
zulf-e-du-ta do-raha-e-islam-o-kufr hai
zahid idhar KHarab udhar barhaman KHarab
ḳhuub chaltī hai naav kāġhaz kī
ghar meñ qaazī ke maal aatā hai
KHub chalti hai naw kaghaz ki
ghar mein qazi ke mal aata hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ haath joḌtā huuñ baḌī der se huzūr
lag jā.iye gale se ab inkār ho chukā
main hath joDta hun baDi der se huzur
lag jaiye gale se ab inkar ho chuka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vā.izo ham riñd kyūñ-kar kābil-e-jannat nahīñ
kyā gunahgāroñ ko mīrās-e-pidar miltī nahīñ
waizo hum rind kyun-kar kabil-e-jannat nahin
kya gunahgaron ko miras-e-pidar milti nahin
qaazī ko jo riñd kuchh chaTā deñ
masjid kī baġhal meñ mai-kada ho
qazi ko jo rind kuchh chaTa den
masjid ki baghal mein mai-kada ho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
duniyā meñ 'bahr' kaun ibādat-guzār hai
saum-o-salāt dāḳhil-e-rasm-o-rivāj hai
duniya mein 'bahr' kaun ibaadat-guzar hai
saum-o-salat daKHil-e-rasm-o-riwaj hai
kāñToñ pe misl-e-qais kahāñ tak ravāñ-davāñ
lailā-e-jāñ hai jism kī mahmil se dil uchāT
kanTon pe misl-e-qais kahan tak rawan-dawan
laila-e-jaan hai jism ki mahmil se dil uchaT
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
merā lahū chaTā.egā jab tak na teġh ko
qātil ko dahne haath se khānā harām hai
mera lahu chaTaega jab tak na tegh ko
qatil ko dahne hath se khana haram hai
ġhair par kyuuñ nigāh karte ho
mujh ko is tiir kā nishāna karo
ghair par kyun nigah karte ho
mujh ko is tir ka nishana karo
-
Tag : Teer
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
be-tarah dil meñ bharā rahtā hai zulfoñ kā dhuāñ
dam nikal jaa.e kisī roz na ghuT kar apnā
be-tarah dil mein bhara rahta hai zulfon ka dhuan
dam nikal jae kisi roz na ghuT kar apna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kamāl-e-tālib-dūñ-e-dūñ hai pīr-e-haram
ḳhudā ke ghar meñ hai lekin ḳhudā se bāhar hai
kamal-e-talib-dun-e-dun hai pir-e-haram
KHuda ke ghar mein hai lekin KHuda se bahar hai
juutā nayā pahan ke vo panjoñ ke bal chale
kapḌe badal ke jaame se bāhar nikal chale
juta naya pahan ke wo panjon ke bal chale
kapDe badal ke jame se bahar nikal chale
chillā rahā huuñ qulqul-e-mīnā-e-mai kī shakl
de jaam ke laboñ se mujhe sāqiyā javāb
chilla raha hun qulqul-e-mina-e-mai ki shakl
de jam ke labon se mujhe saqiya jawab
ek bosa mirī tanḳhvāh mile na mile
aarzū hai ki na qadmoñ se ye naukar chhūTe
ek bosa meri tanKHwah mile na mile
aarzu hai ki na qadmon se ye naukar chhuTe
abr-e-bahār ab bhī jachtā nahīñ nazar meñ
kuchh āñsuoñ ke qatre ab bhī haiñ chashm-e-tar meñ
abr-e-bahaar ab bhi jachta nahin nazar mein
kuchh aansuon ke qatre ab bhi hain chashm-e-tar mein
hogā zarūr ek na ik din mubāhisa
rizvāñ se aur kū-e-sanam ke muqīm se
hoga zarur ek na ek din mubahisa
rizwan se aur ku-e-sanam ke muqim se
kab tālib-e-rāhat hue zaḳhmī-e-mohabbat
marham kī jo hājat huī tezāb banāyā
kab talib-e-rahat hue zaKHmi-e-mohabbat
marham ki jo hajat hui tezab banaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na niklegā dil us ke gesū meñ phañs kar
ye kaalā kabhī man ugaltā nahīñ hai
na niklega dil us ke gesu mein phans kar
ye kala kabhi man ugalta nahin hai
hai nagīna har ek uzv-e-badan
tum ko kyā ehtiyāj zevar kī
hai nagina har ek uzw-e-badan
tum ko kya ehtiyaj zewar ki
vaa.iz kā jhuuT bolnā tāsīr kar gayā
dam meñ namāziyoñ kī huī anjuman ḳharāb
waiz ka jhuT bolna tasir kar gaya
dam mein namaziyon ki hui anjuman KHarab
bhalā huā ki na haath aayā jāma-e-pur-zar
gazī ke kapḌe badalte to ham badal jaate
bhala hua ki na hath aaya jama-e-pur-zar
gazi ke kapDe badalte to hum badal jate
merā dil kis ne liyā naam batā.ūñ kis kā
maiñ huuñ yā aap haiñ ghar meñ koī aayā na gayā
mera dil kis ne liya nam bataun kis ka
main hun ya aap hain ghar mein koi aaya na gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download