Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mohammad Alvi's Photo'

Mohammad Alvi

1927 - 2018 | Ahmedabad, India

One of the most prominent modern poets. Known for his style of layered simplicity. Recipient of Sahitya Academy award.

One of the most prominent modern poets. Known for his style of layered simplicity. Recipient of Sahitya Academy award.

TOP 20 SHAYARI of Mohammad Alvi

dhuup ne guzārish

ek buuñd bārish

dhup ne guzarish ki

ek bund barish ki

roz achchhe nahīñ lagte aañsū

ḳhaas mauqoñ pe mazā dete haiñ

roz achchhe nahin lagte aansu

KHas mauqon pe maza dete hain

añdherā hai kaise tirā ḳhat paḌhūñ

lifāfe meñ kuchh raushnī bhej de

andhera hai kaise tera KHat paDhun

lifafe mein kuchh raushni bhej de

kuchh to is dil ko sazā jaa.e

us tasvīr haTā jaa.e

kuchh to is dil ko saza di jae

us ki taswir haTa di jae

aag apne lagā sakte haiñ

ġhair to sirf havā dete haiñ

aag apne hi laga sakte hain

ghair to sirf hawa dete hain

maiñ ḳhud ko marte hue dekh kar bahut ḳhush huuñ

ye Dar bhī hai ki mirī aañkh khul na jaa.e kahīñ

main KHud ko marte hue dekh kar bahut KHush hun

ye Dar bhi hai ki meri aankh khul na jae kahin

us se bichhaḌte vaqt maiñ royā thā ḳhūb-sā

ye baat yaad aa.ī to pahroñ hañsā kiyā

us se bichhaDte waqt main roya tha KHub-sa

ye baat yaad aai to pahron hansa kiya

nazroñ se nāptā hai samundar vus.ateñ

sāhil pe ik shaḳhs akelā khaḌā huā

nazron se napta hai samundar ki wusaten

sahil pe ek shaKHs akela khaDa hua

dekhā to sab ke sar pe gunāhoñ bojh thā

ḳhush the tamām nekiyāñ dariyā meñ Daal kar

dekha to sab ke sar pe gunahon ka bojh tha

KHush the tamam nekiyan dariya mein Dal kar

maiñ us ke badan muqaddas kitāb

nihāyat aqīdat se paḌhtā rahā

main us ke badan ki muqaddas kitab

nihayat aqidat se paDhta raha

abhī do chaar būñdeñ girīñ haiñ

magar mausam nashīlā ho gayā hai

abhi do chaar hi bunden girin hain

magar mausam nashila ho gaya hai

chalā jā.ūñgā jaise ḳhud ko tanhā chhoḌ kar 'alvī'

maiñ apne aap ko rātoñ meñ uTh kar dekh letā huuñ

chala jaunga jaise KHud ko tanha chhoD kar 'alwi'

main apne aap ko raaton mein uTh kar dekh leta hun

tārīf sun ke dost se 'alvī' ḳhush na ho

us ko tirī burā.iyāñ karte hue bhī dekh

tarif sun ke dost se 'alwi' tu KHush na ho

us ko teri buraiyan karte hue bhi dekh

bichhaḌte vaqt aisā bhī huā hai

kisī siskiyāñ achchhī lagī haiñ

bichhaDte waqt aisa bhi hua hai

kisi ki siskiyan achchhi lagi hain

office meñ bhī ghar ko khulā paatā huuñ maiñ

Table par sar rakh kar so jaatā huuñ maiñ

office mein bhi ghar ko khula pata hun main

Table par sar rakh kar so jata hun main

sāmne dīvār par kuchh daaġh the

ġhaur se dekhā to chehre ho ga.e

samne diwar par kuchh dagh the

ghaur se dekha to chehre ho gae

bikher de mujhe chāroñ taraf ḳhalāoñ meñ

kuchh is tarah se alag kar ki juḌ na pā.ūñ maiñ

bikher de mujhe chaaron taraf KHalaon mein

kuchh is tarah se alag kar ki juD na paun main

mutma.in hai vo banā kar duniyā

kaun hotā huuñ maiñ Dhāne vaalā

mutmain hai wo bana kar duniya

kaun hota hun main Dhane wala

sab namāzeñ bāñdh kar le jā.ūñgā maiñ apne saath

aur masjid ke liye gūñgī azaañ rakh jā.ūñgā

sab namazen bandh kar le jaunga main apne sath

aur masjid ke liye gungi azan rakh jaunga

utaar pheñkūñ badan se phaTī purānī qamīs

badan qamīs se baḌh kar kaTā-phaTā dekhūñ

utar phenkun badan se phaTi purani qamis

badan qamis se baDh kar kaTa-phaTa dekhun

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now