Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nwab Saif Ali Sayyaf's Photo'

Nwab Saif Ali Sayyaf

1895 - 1974 | Bhopal, India

Sher of Nwab Saif Ali Sayyaf

ḳhudārā ik nigāh-e-nāz se dekh lo ham ko

garebāñ phāḌne ko aaj ham tayyār baiThe haiñ

KHudara ek nigah-e-naz hi se dekh lo hum ko

gareban phaDne ko aaj hum tayyar baiThe hain

aa jaa.eñ vaqt-e-naz.a to maiñ un ko dekh luuñ

armān koī dil meñ ab is ke sivā nahīñ

aa jaen waqt-e-naza to main un ko dekh lun

arman koi dil mein ab is ke siwa nahin

milnā kaisā ki yaad bhī na kiyā

mere nāloñ kuchh asar na huā

milna kaisa ki yaad bhi na kiya

mere nalon ka kuchh asar na hua

mere nāloñ jo āvāz pahuñch jaatī hai

ghar se bāhar nikal aate haiñ pareshāñ ho kar

mere nalon ki jo aawaz pahunch jati hai

ghar se bahar nikal aate hain pareshan ho kar

junūn-e-mohabbat ne ye din dikhāyā

ki duniyā meñ rusvā huā chāhtā huuñ

junun-e-mohabbat ne ye din dikhaya

ki duniya mein ruswa hua chahta hun

thī dard jab tak dil meñ khaTak hiltā thā falak larzāñ thī zamīñ

ham aaheñ jis dam bharte the ik mahshar barpā hotā thā

thi dard ki jab tak dil mein khaTak hilta tha falak larzan thi zamin

hum aahen jis dam bharte the ek mahshar barpa hota tha

parde meñ vo to chhup ga.e dikhlā ke ik jhalak

maiñ pech-o-tāb meñ rahā din bhar tamām raat

parde mein wo to chhup gae dikhla ke ek jhalak

main pech-o-tab mein raha din bhar tamam raat

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now