aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Quaiser Khalid's Photo'

Quaiser Khalid

1971 | Mumbai, India

Sher of Quaiser Khalid

416
Favorite

SORT BY

mīThī bāteñ, kabhī talḳh lahje ke tiir

dil pe har din hai un karam bhī nayā

miThi baaten, kabhi talKH lahje ke tir

dil pe har din hai un ka karam bhi naya

Daal pairoñ meñ us shaḳhs ke zanjīr yahāñ

vaqt ne jis ko zamāne meñ uchhalte dekhā

Dal di pairon mein us shaKHs ke zanjir yahan

waqt ne jis ko zamane mein uchhalte dekha

bātoñ se phuul jhaḌte the lekin ḳhabar na thī

ik din laboñ se un ke nashtar bhī ā.eñge

baaton se phul jhaDte the lekin KHabar na thi

ek din labon se un ke hi nashtar bhi aaenge

mohmal hai na jāneñ to, samjheñ to vazāhat hai

hai ziist faqat dhokā aur maut haqīqat hai

mohmal hai na jaanen to, samjhen to wazahat hai

hai zist faqat dhoka aur maut haqiqat hai

ātish-e-ishq se bachiye ki yahāñ ham ne bhī

mom tarah se patthar ko pighalte dekhā

aatish-e-ishq se bachiye ki yahan hum ne bhi

mom ki tarah se patthar ko pighalte dekha

ho paa.e kisī ke ham bhī kahāñ yuuñ koī hamārā bhī na huā

kab Thahrī kisī ik par bhī nazar kyā chiiz hai shahr-e-ḳhūbāñ bhī

ho pae kisi ke hum bhi kahan yun koi hamara bhi na hua

kab Thahri kisi ek par bhi nazar kya chiz hai shahr-e-KHuban bhi

ab is tarah bhī rivāyat se inhirāf na kar

badal agarche achchhā na de, ḳharāb to de

ab is tarah bhi riwayat se inhiraf na kar

badal agarche tu achchha na de, KHarab to de

tere bin hayāt soch bhī gunāh thī

ham qarīb-e-jāñ tirā hisār dekhte rahe

tere bin hayat ki soch bhi gunah thi

hum qarib-e-jaan tera hisar dekhte rahe

umr bhar khul nahīñ paate haiñ rumūz-o-asrār

log kuchh sāmne rah kar bhī nihāñ hote haiñ

umr bhar khul nahin pate hain rumuz-o-asrar

log kuchh samne rah kar bhi nihan hote hain

kuchh batā āḳhir kyūñ-kar tire bandoñ par

har shab hai na.ī aafat har roz musībat hai

kuchh tu hi bata aaKHir kyun-kar tere bandon par

har shab hai nai aafat har roz musibat hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now