Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Adeel Zaidi's Photo'

Adeel Zaidi

1958 | Brighton, USA

Sher of Adeel Zaidi

2K
Favorite

SORT BY

de hausle daad ke ham tere ġham meñ aaj

baiThe haiñ mahfiloñ ko sajā.e tire baġhair

de hausle ki dad ke hum tere gham mein aaj

baiThe hain mahfilon ko sajae tere baghair

maiñ is se qīmtī shai koī kho nahīñ saktā

'adīl' maañ jagah koī ho nahīñ saktā

main is se qimti shai koi kho nahin sakta

'adil' man ki jagah koi ho nahin sakta

dil dhaḌkan ko sunā ġhaur se kal raat 'adīl'

jis ko maiñ DhūñDhtā rahtā huuñ basā hai mujh meñ

dil ki dhaDkan ko suna ghaur se kal raat 'adil'

jis ko main DhunDhta rahta hun basa hai mujh mein

har taraf apne apne haa.e tanhā.ī na pūchh

kis qadar khaltī hai aksar ham ko bīnā.ī na pūchh

har taraf apne hi apne hae tanhai na puchh

kis qadar khalti hai aksar hum ko binai na puchh

kahāñ ke māhir-o-kāmil ho tum hunar meñ 'adīl'

tumhāre kaam to parvardigār kartā hai

kahan ke mahir-o-kaamil ho tum hunar mein 'adil'

tumhaare kaam to parwardigar karta hai

tujh se judā hue to ye ho jā.eñge judā

baaqī kahāñ raheñge ye saa.e tire baġhair

tujh se juda hue to ye ho jaenge juda

baqi kahan rahenge ye sae tere baghair

ehsān-e-rab mohabbateñ itnī milīñ 'adīl'

is umr-e-muḳhtasar meñ na lauTā sakeñge ham

ehsan-e-rab mohabbaten itni milin 'adil'

is umr-e-muKHtasar mein na lauTa sakenge hum

tere hote to bayābāñ bhī the gulshan saare

nahīñ hai to ye duniyā hai bayābāñ jānāñ

tere hote to bayaban bhi the gulshan sare

tu nahin hai to ye duniya hai bayaban jaanan

āzādiyoñ ke shauq o havas ne hameñ 'adīl'

ik ajnabī zamīn qaidī banā diyā

aazadiyon ke shauq o hawas ne hamein 'adil'

ek ajnabi zamin ka qaidi bana diya

ḳhvāb ta.abīr kar ke dekh sakeñ

rābta is qadar bahāl na thā

KHwab tabir kar ke dekh saken

rabta is qadar bahaal na tha

niyyatoñ kamī rahī varna

milnā us bahut muhāl na thā

niyyaton ki kami rahi warna

milna us ka bahut muhaal na tha

jab apnī sar-zamīn ne mujh ko na panāh

anjān vādiyoñ meñ utarnā paḌā mujhe

jab apni sar-zamin ne mujh ko na di panah

anjaan wadiyon mein utarna paDa mujhe

rasm-o-rivāj chhoḌ ke sab aa ga.e yahāñ

rakkhī huī haiñ taaq meñ ab ġhairateñ tamām

rasm-o-riwaj chhoD ke sab aa gae yahan

rakkhi hui hain taq mein ab ghairaten tamam

mirā dil TuuT jaane par miyāñ hairat bhalā kaisī

agar rasta badal jaa.e sitāre TuuT jaate haiñ

mera dil TuT jaane par miyan hairat bhala kaisi

agar rasta badal jae sitare TuT jate hain

ise shā.irī na jaano ye hai merī āp-bītī

maiñ ne likh diyā hai dil sabhī haal chalte chalte

ise shairi na jaano ye hai meri aap-biti

main ne likh diya hai dil ka sabhi haal chalte chalte

terī jānib aa rahā huuñ ruuh taskīñ ko maiñ

hasrateñ dil maiñ duniyā meñ nikāl aayā bahut

teri jaanib aa raha hun ruh ki taskin ko main

hasraten dil ki main duniya mein nikal aaya bahut

de hausle daad ki ham tere ġham meñ aaj

baiThe haiñ mahfiloñ ko sajā.e tire baġhair

de hausle ki dad ki hum tere gham mein aaj

baiThe hain mahfilon ko sajae tere baghair

jis sākin hai mirī zaat meñ ab tak zinda

phuul us qabr pe kar maiñ chaḌhā.ūñ kaise

jis ka sakin hai meri zat mein ab tak zinda

phul us qabr pe ja kar main chaDhaun kaise

mujhe to lagtā hai jaise ye kā.enāt tamām

hai bāzgasht yaqīnan sadā kisī nahīñ

mujhe to lagta hai jaise ye kaenat tamam

hai bazgasht yaqinan sada kisi ki nahin

mujh se duur chalī jaa.e ain mumkin hai

magar vo aks jo merī nazar meñ rahtā hai

tu mujh se dur chali jae ain mumkin hai

magar wo aks jo meri nazar mein rahta hai

mirā dil TuuT jaane par miyāñ hairat bhalā kaisī

agar rasta badal jaa.e sitāre TuuT jaate haiñ

mera dil TuT jaane par miyan hairat bhala kaisi

agar rasta badal jae sitare TuT jate hain

rasm-o-rivāj chhoḌ ke sab aa ga.e yahāñ

rakkhī huī haiñ taaq meñ ab ġhairateñ tamām

rasm-o-riwaj chhoD ke sab aa gae yahan

rakkhi hui hain taq mein ab ghairaten tamam

terī ḳhushbū ke saath aaj 'adīl'

phir se lauT aa.ī merī bīnā.ī

teri KHushbu ke sath aaj 'adil'

phir se lauT aai meri binai

tujh se judā hue to ye ho jā.eñge judā

baaqī kahāñ raheñge ye saa.e tire baġhair

tujh se juda hue to ye ho jaenge juda

baqi kahan rahenge ye sae tere baghair

vaa.e qismat sabab is bhī ye vahshat Thahrī

dar-o-dīvār meñ rah kar bhī maiñ be-ghar niklā

wae qismat sabab is ka bhi ye wahshat Thahri

dar-o-diwar mein rah kar bhi main be-ghar nikla

judā jo ho ga.e tasbīh-e-roz-o-shab se 'adīl'

maiñ zindagī meñ vo daane piro nahīñ saktā

juda jo ho gae tasbih-e-roz-o-shab se 'adil'

main zindagi mein wo dane piro nahin sakta

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now