Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ahl-e-gham se ishrat-e-alam ka saman ho gaya

Saqib Lakhnavi

ahl-e-gham se ishrat-e-alam ka saman ho gaya

Saqib Lakhnavi

MORE BYSaqib Lakhnavi

    ahl-e-ġham se ishrat-e-ālam sāmāñ ho gayā

    jab zamīñ daaġh ubhar aa.e gulistāñ ho gayā

    apnī had se baḌh ke jaatā kis taraf ko dil mirā

    jaan paḌte ye musht-e-ḳhāk be-jāñ ho gayā

    ishq ke ba.ad ab havādis zarūrat kyā rahī

    āsmāñ dam le mire marne sāmāñ ho gayā

    hashr meñ pahchān kar qātil muñh takne lagā

    jab zarūrat hosh dekhī to hairāñ ho gayā

    ḳhuftagān-e-ḳhāk kitnā be-mahal so.e ki ab

    majma-e-ahbāb ik ḳhvāb-e-pareshāñ ho gayā

    inqalāb aa kar madad dete haiñ istedād ko

    karvaTeñ badleñ lahū ne aur insāñ ho gayā

    rāsta vahshat ko āḳhir mil gayā tañgī meñ bhī

    ye garebāñ thā jo do hāthoñ meñ dāmāñ ho gayā

    vus.at-e-sahn-e-jahāñ kuchh kam na thī ai ishq dost

    kyuuñ ghaTā itnā ki dil vāloñ ko zindāñ ho gayā

    bāġhbāñ raa.e meñ maiñ be-haqīqat thā magar

    ba.ad mere āshiyāñ dāġh-e-gulistāñ ho gayā

    ruk chalā hai beach meñ ḳhanjar ilāhī ḳhair ho

    dam na niklegā agar qātil pashemāñ ho gayā

    ek qatra bahr-e-isyāñ thā jo yuuñ sar chaḌhā

    palte palte dāman-e-ālam meñ tūfāñ ho gayā

    jab koī aañsū mizha par aa ke chamkā shām-e-ġham

    maiñ ye samjhā sub.h taarā numāyāñ ho gayā

    shukr shāne karūñ sabr ko DhūñDūñ kahīñ

    zulf to simTī magar haañ dil pareshāñ ho gayā

    kam se kam par aaj raazī haiñ shahīdoñ ke mazār

    aap hañs deñge to samjheñge charāġhāñ ho gayā

    jis meñ lākhoñ phuul the 'sāqib' vo bāġh-e-dil-kushā

    ek gardish meñ gardūñ bayābāñ ho gayā

    ahl-e-gham se ishrat-e-alam ka saman ho gaya

    jab zamin ki dagh ubhar aae gulistan ho gaya

    apni had se baDh ke jata kis taraf ko dil mera

    jaan paDte hi ye musht-e-KHak be-jaan ho gaya

    ishq ke baad ab hawadis ki zarurat kya rahi

    aasman dam le mere marne ka saman ho gaya

    hashr mein pahchan kar qatil ka munh takne laga

    jab zarurat hosh ki dekhi to hairan ho gaya

    KHuftagan-e-KHak kitna be-mahal soe ki ab

    majma-e-ahbab ek KHwab-e-pareshan ho gaya

    inqalab aa kar madad dete hain istedad ko

    karwaTen badlen lahu ne aur insan ho gaya

    rasta wahshat ko aaKHir mil gaya tangi mein bhi

    ye gareban tha jo do hathon mein daman ho gaya

    wusat-e-sahn-e-jahan kuchh kam na thi ai ishq dost

    kyun ghaTa itna ki dil walon ko zindan ho gaya

    baghban ki rae mein main be-haqiqat tha magar

    baad mere aashiyan dagh-e-gulistan ho gaya

    ruk chala hai beach mein KHanjar ilahi KHair ho

    dam na niklega agar qatil pasheman ho gaya

    ek qatra bahr-e-isyan ka tha jo yun sar chaDha

    palte palte daman-e-alam mein tufan ho gaya

    jab koi aansu mizha par aa ke chamka sham-e-gham

    main ye samjha subh ka tara numayan ho gaya

    shukr shane ka karun ya sabr ko DhunDun kahin

    zulf to simTi magar han dil pareshan ho gaya

    kam se kam par aaj raazi hain shahidon ke mazar

    aap hans denge to samjhenge charaghan ho gaya

    jis mein lakhon phul the 'saqib' wo bagh-e-dil-kusha

    ek hi gardish mein gardun ki bayaban ho gaya

    Source:

    Deewan-e-Saqib (Pg. 165)

    • Author: Mirza Zakir Husain Qazlibaas Saqib Lucknowvi
      • Edition: 1998
      • Publisher: Urdu Acadami U.P.
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now