aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud-faramosh-e-qafas hum hain chaman yaad nahin

Saqib Lakhnavi

KHud-faramosh-e-qafas hum hain chaman yaad nahin

Saqib Lakhnavi

MORE BYSaqib Lakhnavi

    ḳhud-farāmosh-e-qafas ham haiñ chaman yaad nahīñ

    ġhair ke ho ga.e aise ki vatan yaad nahīñ

    chāñdnī husn achchhī hai magar naaz na kar

    tujh ko is chāñd tārīk gahan yaad nahīñ

    us mahfil meñ huā thā kabhī apnā bhī guzar

    bāteñ kuchh thiiñ magar mujh ko dahan yaad nahīñ

    shikva-e-hijr ḳhvāhish na kar ai dil ki tujhe

    sāmnā ho to koī ranj-o-mehan yaad nahīñ

    jalva-e-hilla-e-jannat se ye ḳhud-rafta huā

    maiñ ne kin hāthoñ se pahnā thā kafan yaad nahīñ

    kyuuñ sunāte ho 'abas ahl-e-vafā ko bāteñ

    ki unheñ tarz-e-mukāfāt-e-suḳhan yaad nahīñ

    tafraqa-sāz-garoñ ye had hai ki mujhe

    mil ke baiThe the kabhī rūh-o-badan yaad nahīñ

    ham to mar mar ke sikhāyā kiye lekin ab tak

    'ishq husn-e-ḳhud-ārā ko chalan yaad nahīñ

    turra-e-gesū-e-jānāñ tirī nik.hat qasam

    maiñ ne dekhā thā magar mushk-e-ḳhutan yaad nahīñ

    kyā batā.ūñ tujhe maiñ qaid-e-mohabbat kyā thī

    dast-o-pā ko mire zanjīr-o-rasan yaad nahīñ

    tere nazzāre meñ dil mahv thā aisā dam-e-ranj

    teġh phal mujhe ai seb-e-zaqan yaad nahīñ

    daaġh ginte hue guzre haiñ qafas meñ shab-o-roz

    kis tarah khulte the gul-hā-e-chaman yaad nahīñ

    qadr-dāñ ke bahal jaate haiñ āvāra-vatan

    jab to nikle hue motī ko adn yaad nahīñ

    zab.h hone se mire un ko ta'ajjub hai to ho

    apne māthe vo ḳhūñ-rez shikan yaad nahīñ

    kaun suntā hai ye afsāna-e-ġham ai 'sāqib'

    qābil-e-ahl-e-zamāna koī fan yaad nahīñ

    KHud-faramosh-e-qafas hum hain chaman yaad nahin

    ghair ke ho gae aise ki watan yaad nahin

    chandni husn ki achchhi hai magar naz na kar

    tujh ko is chand ka tarik gahan yaad nahin

    us ki mahfil mein hua tha kabhi apna bhi guzar

    baaten kuchh ki thin magar mujh ko dahan yaad nahin

    shikwa-e-hijr ki KHwahish na kar ai dil ki tujhe

    samna ho to koi ranj-o-mehan yaad nahin

    jalwa-e-hilla-e-jannat se ye KHud-rafta hua

    main ne kin hathon se pahna tha kafan yaad nahin

    kyun sunate ho 'abas ahl-e-wafa ko baaten

    ki unhen tarz-e-mukafat-e-suKHan yaad nahin

    tafraqa-saz-garon ki ye had hai ki mujhe

    mil ke baiThe the kabhi ruh-o-badan yaad nahin

    hum to mar mar ke sikhaya kiye lekin ab tak

    'ishq ka husn-e-KHud-ara ko chalan yaad nahin

    turra-e-gesu-e-jaanan teri nikhat ki qasam

    main ne dekha tha magar mushk-e-KHutan yaad nahin

    kya bataun tujhe main qaid-e-mohabbat kya thi

    dast-o-pa ko mere zanjir-o-rasan yaad nahin

    tere nazzare mein dil mahw tha aisa dam-e-ranj

    tegh ka phal mujhe ai seb-e-zaqan yaad nahin

    dagh ginte hue guzre hain qafas mein shab-o-roz

    kis tarah khulte the gul-ha-e-chaman yaad nahin

    qadr-dan pa ke bahal jate hain aawara-watan

    jab to nikle hue moti ko adn yaad nahin

    zabh hone se mere un ko ta'ajjub hai to ho

    apne mathe ki wo KHun-rez shikan yaad nahin

    kaun sunta hai ye afsana-e-gham ai 'saqib'

    qabil-e-ahl-e-zamana koi fan yaad nahin

    Source:

    Deewan-e-Saqib (Pg. 225)

    • Author: Mirza Zakir Husain Qazlibaas Saqib Lucknowvi
      • Edition: 1998
      • Publisher: Urdu Acadami U.P.
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now