Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

'aalam-e-kashmakash

Asif Jaanif

'aalam-e-kashmakash

Asif Jaanif

MORE BYAsif Jaanif

    mai.n ek aisii jagah aayaa huu.n

    jahaa.n har shai

    ib.haam ke qiimtii rang-birange jo.De

    me.n malbuus hai

    mujhe aisaa lagtaa hai

    mai.n picasso kii pantings me.n ghus chukaa huu.n

    yaa phir van gogh ke dimaaG me.n

    yahaa.n insaan nahii.n hai.n

    magar insaan numaa chehre hai.n

    har chehra chehra-numaa hai

    aur har chehre kii 9 aa.nkhe.n hai.n yaa shaayad 6

    mujhe bahut se dhu.ndle haath paa.nv

    nazar aa rahe hai.n

    un kii bahut saarii u.ngliyaa.n hai.n

    aur har u.nglii ke ka.ii naaKHun hai.n

    yahaa.n KHayaalaat kaa ek giroh hai

    un kaa ek sardaar hai

    jis kaa naam nahii.n hai magar vo meraa ham-KHayaal hai

    aur mujhe kahtaa hai

    ai mere ham-KHayaal

    aa.iye huzuur

    'aalam-e-kashmakash me.n aap kaa suvaagat hai

    ab aap kii vaapsii mumkin nahii.n

    mai.n ek aisii jagah aayaa huu.n

    jahaa.n har shai

    ib.haam ke qiimtii rang-birange jo.De

    me.n malbuus hai

    mujhe aisaa lagtaa hai

    mai.n picasso kii pantings me.n ghus chukaa huu.n

    yaa phir van gogh ke dimaaG me.n

    yahaa.n insaan nahii.n hai.n

    magar insaan numaa chehre hai.n

    har chehra chehra-numaa hai

    aur har chehre kii 9 aa.nkhe.n hai.n yaa shaayad 6

    mujhe bahut se dhu.ndle haath paa.nv

    nazar aa rahe hai.n

    un kii bahut saarii u.ngliyaa.n hai.n

    aur har u.nglii ke ka.ii naaKHun hai.n

    yahaa.n KHayaalaat kaa ek giroh hai

    un kaa ek sardaar hai

    jis kaa naam nahii.n hai magar vo meraa ham-KHayaal hai

    aur mujhe kahtaa hai

    ai mere ham-KHayaal

    aa.iye huzuur

    'aalam-e-kashmakash me.n aap kaa suvaagat hai

    ab aap kii vaapsii mumkin nahii.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

    Speak Now