Sher of Aadil Rahi
umr-bhar un se ta'alluq nahīñ TuuTā kartā
aise kuchh log haiñ jo dil meñ utar jaate haiñ
umr-bhar un se ta'alluq nahin TuTa karta
aise kuchh log hain jo dil mein utar jate hain
bas ik yahī to ḳharābī hai us kī fitrat meñ
vo mujh ko yaad to kartā hai par zarūrat meñ
bas ek yahi to KHarabi hai us ki fitrat mein
wo mujh ko yaad to karta hai par zarurat mein
pata kaise hoñ āḳhir hijr ke asbāb duniyā ko
tire hoñToñ pe ḳhāmoshī mire hālāt poshīda
pata kaise hon aaKHir hijr ke asbab duniya ko
tere honTon pe KHamoshi mere haalat poshida
tumhāre baad ye ġham bhī uThānā paḌtā hai
ḳhushī mile na mile muskurānā paḌtā hai
tumhaare baad ye gham bhi uThana paDta hai
KHushi mile na mile muskurana paDta hai
sab ko dil kā raaz batānā Thiik nahīñ
duniyā-dārī duniyā-dārī hotī hai
sab ko dil ka raaz batana Thik nahin
duniya-dari duniya-dari hoti hai
tumhāre ġham kī udāsī qalīl karte hue
maiñ jī rahā huuñ mohabbat tavīl karte hue
tumhaare gham ki udasi qalil karte hue
main ji raha hun mohabbat tawil karte hue
tishnagī aa tujhe dariyā ke havāle kar duuñ
tujh ko is haal meñ pyāsā nahīñ dekhā jaatā
tishnagi aa tujhe dariya ke hawale kar dun
tujh ko is haal mein pyasa nahin dekha jata
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tum apnī tabāhī kā mātam to kar lo
mire haal par muskurāne se pahle
tum apni tabahi ka matam to kar lo
mere haal par muskurane se pahle
unheñ yaqīñ ki koī ranj-o-ġham nahīñ mujh ko
mujhe bharam ki mirā mas.ala samajhte haiñ
unhen yaqin ki koi ranj-o-gham nahin mujh ko
mujhe bharam ki mera masala samajhte hain
tum mirā nām-o-nasab pūchh rahe ho sab se
ishq ho jaa.e to shajara nahīñ dekhā jaatā
tum mera nam-o-nasab puchh rahe ho sab se
ishq ho jae to shajara nahin dekha jata
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download