Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ain Irfan's Photo'

Ain Irfan

1984 | Muzaffarnagar, India

Sher of Ain Irfan

1.5K
Favorite

SORT BY

be-maqsad mahfil se behtar tanhā.ī

be-matlab bātoñ se achchhī ḳhāmoshī

be-maqsad mahfil se behtar tanhai

be-matlab baaton se achchhi KHamoshi

bahut nazdīk the tasvīr meñ ham

magar vo fāsla jo dikh rahā thā

bahut nazdik the taswir mein hum

magar wo fasla jo dikh raha tha

bas ek dhun thī samundar ko paar karne

maiñ jāntā thā samundar ke paar kuchh bhī na thā

bas ek dhun thi samundar ko par karne ki

main jaanta tha samundar ke par kuchh bhi na tha

jahāñ tak Dūbne Dar hai tum ko

chalo ham saath chalte haiñ vahāñ tak

jahan tak Dubne ka Dar hai tum ko

chalo hum sath chalte hain wahan tak

hādisa kaun huā pahle

raat aa.ī ki din Dhalā pahle

hadisa kaun sa hua pahle

raat aai ki din Dhala pahle

gāmzan haiñ ham musalsal ajnabī manzil samt

zindagī aarzū meñ zindagī khote hue

gamzan hain hum musalsal ajnabi manzil ki samt

zindagi ki aarzu mein zindagi khote hue

kabhī sochūñ ki ḳhud maiñ lauT aa.uuñ

kabhī sochūñ ki aisā kyuuñ karūñ maiñ

kabhi sochun ki KHud main lauT aaun

kabhi sochun ki aisa kyun karun main

mirā vajūd jo patthar dikhā.ī detā hai

tamām umr shīshagarī hāsil hai

mera wajud jo patthar dikhai deta hai

tamam umr ki shishagari ka hasil hai

merī taraf sabhī ki nigāheñ thiiñ aur maiñ

jis kashmakash meñ sab the usī kashmakash meñ thā

meri taraf sabhi ki nigahen thin aur main

jis kashmakash mein sab the usi kashmakash mein tha

ho din ki chāhe raat koī mas.ala nahīñ

mere liye hayāt koī mas.ala nahīñ

ho din ki chahe raat koi masala nahin

mere liye hayat koi masala nahin

ġharq hote jahāz dekhe haiñ

sail-e-vaqt-e-ravāñ samajhtā huuñ

gharq hote jahaz dekhe hain

sail-e-waqt-e-rawan samajhta hun

tishnagī piine shab thī

aabjū hone din thā

tishnagi pine ki shab thi

aabju hone ka din tha

kartā hai kār-e-raushnī mujh ko jalā ke din

kartī hai kār-e-tīrgī mujh ko bujhā ke raat

karta hai kar-e-raushni mujh ko jala ke din

karti hai kar-e-tirgi mujh ko bujha ke raat

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now