aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Aish Dehlvi

1779 - 1874 | Delhi, India

One of the most vocal critics of Ghalib's poetic style.

One of the most vocal critics of Ghalib's poetic style.

Sher of Aish Dehlvi

siine meñ ik khaTak hai aur bas

ham nahīñ jānte ki kyā hai dil

sine mein ek khaTak si hai aur bas

hum nahin jaante ki kya hai dil

kalām-e-mīr samjhe aur zabān-e-mīrzā samjhe

magar un kahā ye aap samjheñ ḳhudā samjhe

kalam-e-mir samjhe aur zaban-e-mirza samjhe

magar un ka kaha ye aap samjhen ya KHuda samjhe

be-sabātī chaman-e-dahr hai jin pe khulī

havas-e-rañg na vo ḳhvāhish-e-bū karte haiñ

be-sabaati chaman-e-dahr ki hai jin pe khuli

hawas-e-rang na wo KHwahish-e-bu karte hain

ai sham.a sub.h hotī hai rotī hai kis liye

thoḌī rah ga.ī hai ise bhī guzār de

ai shama subh hoti hai roti hai kis liye

thoDi si rah gai hai ise bhi guzar de

maiñ burā sahī bhalā na sahī

par tirī kaun jafā na sahī

TRANSLATION

I may be bad, good I may be not,

But which of thy atrocities I bore not.

Sagar Akbarabadi

main bura hi sahi bhala na sahi

par teri kaun si jafa na sahi

TRANSLATION

I may be bad, good I may be not,

But which of thy atrocities I bore not.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now