Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Akhtar Shahjahanpuri's Photo'

Akhtar Shahjahanpuri

1940 | Shahjahanpur, India

Akhtar Shahjahanpuri

Ghazal 17

Sher-o-Shayari 20

diloñ meñ karb baḌhtā rahā hai

magar chehre abhī shādāb se haiñ

dilon mein karb baDhta ja raha hai

magar chehre abhi shadab se hain

maiñ jhuuT ko sachchā.ī ke paikar meñ sajātā

kyā kījiye mujh ko ye hunar nahīñ aayā

main jhuT ko sachchai ke paikar mein sajata

kya kijiye mujh ko ye hunar hi nahin aaya

purāne vaqtoñ ke kuchh log ab bhī kahte haiñ

baḌā vahī hai jo dushman ko bhī muaaf kare

purane waqton ke kuchh log ab bhi kahte hain

baDa wahi hai jo dushman ko bhi muaf kare

ranj-o-ġham Thokareñ māyūsī ghuTan be-zārī

mere ḳhvāboñ ye ta.abīr bhī ho saktī hai

ranj-o-gham Thokaren mayusi ghuTan be-zari

mere KHwabon ki ye tabir bhi ho sakti hai

ye munsifān-e-shahr haiñ ye pāsbān-e-shahr

in ko batāo naam jo balvā.iyoñ ke haiñ

ye munsifan-e-shahr hain ye pasban-e-shahr

in ko batao nam jo balwaiyon ke hain

  • Share this

More Poets From "Shahjahanpur"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now