Sher of Bhaskar Shukla
sitāroñ āsmāñ ko jagmagā do raushnī se
december aaj milne jā rahā hai january se
sitaron aasman ko jagmaga do raushni se
december aaj milne ja raha hai january se
agar hai ishq sachchā to nigāhoñ se bayāñ hogā
zabāñ se bolnā bhī kyā koī iz.hār hotā hai
agar hai ishq sachcha to nigahon se bayan hoga
zaban se bolna bhi kya koi izhaar hota hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
haiñ dastaras meñ yuuñ to zabāneñ ka.ī magar
ḳhāmoshī aaj bhī merī pahlī pasand hai
hain dastaras mein yun to zabanen kai magar
KHamoshi aaj bhi meri pahli pasand hai
muskurāhaT oḌh kar yuuñ hī nahīñ rahtā huuñ maiñ
jhāñk kar dekho kabhī andar bahut TuuTā huuñ maiñ
muskurahaT oDh kar yun hi nahin rahta hun main
jhank kar dekho kabhi andar bahut TuTa hun main
nahīñ jāntā maiñ tirī ḳhāmushī kī vajūhāt kyā haiñ
nahīñ māntā maiñ ki tujh tak sadā.eñ pahuñchtī nahīñ haiñ
nahin jaanta main teri KHamushi ki wajuhat kya hain
nahin manta main ki tujh tak sadaen pahunchti nahin hain
she'r kahnā hai un kī āñkhoñ par
dekhiye ban sake agar tasvīr
she'r kahna hai un ki aankhon par
dekhiye ban sake agar taswir
kisī kī maut kā dukh hai magar is se ziyāda
mujhe is baat kā dukh hai ki koī ro rahā hai
kisi ki maut ka dukh hai magar is se ziyaada
mujhe is baat ka dukh hai ki koi ro raha hai
vo bhī maqām aa.e hai majnūñ ke baḳht meñ
lailā dikhā.ī dene lage har daraḳht meñ
wo bhi maqam aae hai majnun ke baKHt mein
laila dikhai dene lage har daraKHt mein
ḳhvāhish sab rakhte haiñ tujh ko paane kī
aur phir apnī apnī qismat hotī hai
KHwahish sab rakhte hain tujh ko pane ki
aur phir apni apni qismat hoti hai
bahut āsān hai kahnā burā kyā hai bhalā kyā hai
karoge 'ishq tab mā'lūm hogā mas.ala kyā hai
bahut aasan hai kahna bura kya hai bhala kya hai
karoge 'ishq tab ma'lum hoga masala kya hai
mushkil hai samjhānā us ko
dil ke paas dimāġh nahīñ hai
mushkil hai samjhana us ko
dil ke pas dimagh nahin hai
kaun sā tujh se milāne ke liye aayā hai
ye nayā saal bhī jaane ke liye aayā hai
kaun sa tujh se milane ke liye aaya hai
ye naya sal bhi jaane ke liye aaya hai
ga.ī shab niiñd meñ chalte hue dekhā gayā mujh ko
batāyā thā kisī ne ḳhvāb meñ terā pata mujh ko
gai shab nind mein chalte hue dekha gaya mujh ko
bataya tha kisi ne KHwab mein tera pata mujh ko
kuchh bolo ki ḳhāmoshī chup ho jaa.e
us kī bāteñ sun kar ke Dar lagtā hai
kuchh bolo ki KHamoshi chup ho jae
us ki baaten sun kar ke Dar lagta hai
ham yahāñ kāTne aa.e haiñ shab-e-furqat-e-yār
ham zarā bhī haiñ agar ḳhush to ġhanīmat jaano
hum yahan kaTne aae hain shab-e-furqat-e-yar
hum zara bhi hain agar KHush to ghanimat jaano
hijr ne us ke hameñ baḳhshī ġhazal
ham firāq-e-yār kā ġham kyoñ kareñ
hijr ne us ke hamein baKHshi ghazal
hum firaq-e-yar ka gham kyon karen
ik nadī sahrā kī honā chāhtī hai
ik nadī jis par samundar khul gayā hai
ek nadi sahra ki hona chahti hai
ek nadi jis par samundar khul gaya hai
tumhāre shahr se guzrī thī gaaḌī
utarne kā bahut man kar rahā thā
tumhaare shahr se guzri thi gaDi
utarne ka bahut man kar raha tha
makāñ to hai nahīñ jo khīñch deñ dīvār is dil meñ
koī duujā nahīñ rah pā.egā ab yaar is dil meñ
makan to hai nahin jo khinch den diwar is dil mein
koi duja nahin rah paega ab yar is dil mein
auroñ kā batāyā huā rastā nahīñ chunte
jo 'ishq chunā karte haiñ duniyā nahīñ chunte
auron ka bataya hua rasta nahin chunte
jo 'ishq chuna karte hain duniya nahin chunte