Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ehteram Islam's Photo'

Ehteram Islam

1949 | Allahabad, India

Sher of Ehteram Islam

yaad thā 'suqrāt' qissa sabhī ko 'ehtirām'

sochiye aise meñ baḌh kar sach ko sach kahtā to kaun

yaad tha 'suqraat' ka qissa sabhi ko 'ehtiram'

sochiye aise mein baDh kar sach ko sach kahta to kaun

laḌkhaḌā kar gir paḌī ūñchī imārat daf.atan

daf.atan ta.amīr kursī pe khañDar jam gayā

laDkhaDa kar gir paDi unchi imarat dafatan

dafatan tamir ki kursi pe khanDar jam gaya

tauqīr añdheroñ baḌhā ga.ī shāyad

ik sham.a jo raushan thī bujhā ga.ī shāyad

tauqir andheron ki baDha di gai shayad

ek shama jo raushan thi bujha di gai shayad

saath rakhiye kaam aa.egā bahut nām-e-ḳhudā

ḳhauf gar jaagā to phir kis ko sadā jā.egī

sath rakhiye kaam aaega bahut nam-e-KHuda

KHauf gar jaga to phir kis ko sada di jaegi

sher ke ruup meñ dete rahnā

'ehtirām' apnī ḳhabar aage bhī

sher ke rup mein dete rahna

'ehtiram' apni KHabar aage bhi

is baar bhī sho.aloñ ne machā Daalī tabāhī

is baar bhī sho.aloñ ko havā ga.ī shāyad

is bar bhi shoalon ne macha Dali tabahi

is bar bhi shoalon ko hawa di gai shayad

usī se mujh ko milā ishtiyāq manzil

mire safar ko fazā-e-safar usī se milī

usi se mujh ko mila ishtiyaq manzil ka

mere safar ko faza-e-safar usi se mili

ahl-e-duniyā se mujhe to koī andesha na thā

naam terā kis liye mire laboñ par jam gayā

ahl-e-duniya se mujhe to koi andesha na tha

nam tera kis liye mere labon par jam gaya

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now