Sher of Fatima Mehru
ik nazar sarsarī do chaar zarūrī bāteñ
ghar meñ rakkhā koī aḳhbār samajhtā hai mujhe
ek nazar sarsari do chaar zaruri baaten
ghar mein rakkha koi aKHbar samajhta hai mujhe
ik ghaḌī mujh ko chāhiye aisī
vaqt jis meñ tamām terā ho
ek ghaDi mujh ko chahiye aisi
waqt jis mein tamam tera ho
tire hijrat ke maare bastiyoñ se laḌ rahe haiñ
jinheñ yaksar tire dil meñ Thikāna chāhiye thā
tere hijrat ke mare bastiyon se laD rahe hain
jinhen yaksar tere dil mein Thikana chahiye tha
chhoḌ jā.eñge tujhe chāñd ke charche sun kar
chaḌhte sūraj ke pujārī haiñ tire dīvāne
chhoD jaenge tujhe chand ke charche sun kar
chaDhte suraj ke pujari hain tere diwane
aarzū hai tujhe bātoñ meñ lagā kar ik din
ek muhtāt salīqe se bikhartā dekheñ
aarzu hai tujhe baaton mein laga kar ek din
ek muhtat saliqe se bikharta dekhen
jaisā jī meñ aa.e vaisā kar jaanā
itnā bhī āsān nahīñ hai mar jaanā
jaisa ji mein aae waisa kar jaana
itna bhi aasan nahin hai mar jaana
ye ġhalat-fahmiyoñ kā mausam hai
apne dil ko sañbhāl kar rakhnā
ye ghalat-fahmiyon ka mausam hai
apne dil ko sanbhaal kar rakhna
tabhī to dhuñdlī haiñ us kī merī tamām rāheñ
vo mujh ko kohre kī chāñd rātoñ meñ sochtā hai
tabhi to dhundli hain us ki meri tamam rahen
wo mujh ko kohre ki chand raaton mein sochta hai
kuchh nahīñ māñgte magar kuchh log
kuchh nahīñ chhoḌte hamāre paas
kuchh nahin mangte magar kuchh log
kuchh nahin chhoDte hamare pas
maiñ ek vo huuñ jo aap ḳhud se bhī muḳhtalif hai
maiñ vo nahīñ huuñ jo aap mujh ko samajh rahe the
main ek wo hun jo aap KHud se bhi muKHtalif hai
main wo nahin hun jo aap mujh ko samajh rahe the
nahīñ charāġh jalā.eñge ab kisī dar par
ham aap apnī mohabbat mazār kar leñge
nahin charagh jalaenge ab kisi dar par
hum aap apni mohabbat mazar kar lenge
vo koh-e-qāf kā jaise makīn ho gayā hai
bichhaḌ ke aur ziyāda hasīn ho gayā hai
wo koh-e-qaf ka jaise makin ho gaya hai
bichhaD ke aur ziyaada hasin ho gaya hai
tasvīroñ par mat jaanā
saalī jhūTī hotī haiñ
taswiron par mat jaana
sali jhuTi hoti hain
aur is se peshtar us ko bhulā sakūñ yaksar
use maiñ us kī tarah yaad aanā chāhtī huuñ
aur is se peshtar us ko bhula sakun yaksar
use main us ki tarah yaad aana chahti hun