Sher of Haneef akhgar
iz.hār pe bhārī hai ḳhamoshī kā takallum
harfoñ kī zabāñ aur hai āñkhoñ kī zabāñ aur
izhaar pe bhaari hai KHamoshi ka takallum
harfon ki zaban aur hai aankhon ki zaban aur
jo kushūd-e-kār-e-tilism hai vo faqat hamārā hī ism hai
vo girah kisī se khulegī kyā jo tirī jabīñ kī shikan meñ hai
jo kushud-e-kar-e-tilism hai wo faqat hamara hi ism hai
wo girah kisi se khulegi kya jo teri jabin ki shikan mein hai
kisī ke jaur-e-musalsal kā faiz hai 'aḳhgar'
vagarna dard hamāre suḳhan meñ kitnā thā
kisi ke jaur-e-musalsal ka faiz hai 'aKHgar'
wagarna dard hamare suKHan mein kitna tha
be-shak asīr-e-gesū-e-jānāñ haiñ be-shumār
hai koī ishq meñ bhī giraftār dekhnā
be-shak asir-e-gesu-e-jaanan hain be-shumar
hai koi ishq mein bhi giraftar dekhna
ishq meñ dil kā ye manzar dekhā
aag meñ jaise samundar dekhā
ishq mein dil ka ye manzar dekha
aag mein jaise samundar dekha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kāfir sahī hazār magar is ko kyā kaheñ
ham par vo mehrbāñ hai musalmān kī tarah
kafir sahi hazar magar is ko kya kahen
hum par wo mehrban hai musalman ki tarah
aa.ine meñ hai faqat aap kā aks
aa.ina aap kī sūrat to nahīñ
aaine mein hai faqat aap ka aks
aaina aap ki surat to nahin
shāmil hue haiñ bazm meñ misl-e-charāġh ham
ab sub.h tak jaleñge lagātār dekhnā
shamil hue hain bazm mein misl-e-charagh hum
ab subh tak jalenge lagatar dekhna
vo kam-sinī meñ bhī 'aḳhgar' hasīn thā lekin
ab us ke husn kā aalam ajiib aalam hai
wo kam-sini mein bhi 'aKHgar' hasin tha lekin
ab us ke husn ka aalam ajib aalam hai
jo hai tāzgī mirī zaat meñ vahī zikr-o-fikr-e-chaman meñ hai
ki vajūd merā kahīñ bhī ho mirī ruuh mere vatan meñ hai
jo hai tazgi meri zat mein wahi zikr-o-fikr-e-chaman mein hai
ki wajud mera kahin bhi ho meri ruh mere watan mein hai
log milne ko chale aate haiñ dīvāne se
shahr kā ek ta.alluq to hai vīrāne se
log milne ko chale aate hain diwane se
shahr ka ek talluq to hai virane se
dekho hamārī samt ki zinda haiñ ham abhī
sachchā.iyoñ kī āḳhirī pahchān kī tarah
dekho hamari samt ki zinda hain hum abhi
sachchaiyon ki aaKHiri pahchan ki tarah
jab bhī us zulf-e-pareshāñ kī havā aatī hai
ham to ḳhushbū kī tarah ghar se nikal jaate haiñ
jab bhi us zulf-e-pareshan ki hawa aati hai
hum to KHushbu ki tarah ghar se nikal jate hain
koī sāġhar pe sāġhar pī rahā hai koī tishna hai
murattab is tarah ā.īn-e-mai-ḳhāna nahīñ hotā
koi saghar pe saghar pi raha hai koi tishna hai
murattab is tarah aain-e-mai-KHana nahin hota
dekhiye rusvā na ho jaa.e kahīñ kār-e-junūñ
apne dīvāne ko ik patthar to maare jā.iye
dekhiye ruswa na ho jae kahin kar-e-junun
apne diwane ko ek patthar to mare jaiye
tumhārī āñkhoñ kī gardishoñ meñ baḌī muravvat hai ham ne maanā
magar na itnī tasalliyāñ do ki dam nikal jaa.e aadmī kā
tumhaari aankhon ki gardishon mein baDi murawwat hai hum ne mana
magar na itni tasalliyan do ki dam nikal jae aadmi ka
jo musāfir bhī tire kūche se guzrā hogā
apnī nazroñ ko bhī dīvār samajhtā hogā
jo musafir bhi tere kuche se guzra hoga
apni nazron ko bhi diwar samajhta hoga
nigāheñ pherne vaale ye nazreñ uTh hī jaatī haiñ
kabhī begānagī vaj.h-e-shanāsā.ī bhī hotī hai
nigahen pherne wale ye nazren uTh hi jati hain
kabhi beganagi wajh-e-shanasai bhi hoti hai
hasīn sūrat hameñ hamesha hasīñ hī ma.alūm kyuuñ na hotī
hasīn andāz-e-dil-navāzī hasīn-tar naaz barhamī kā
hasin surat hamein hamesha hasin hi malum kyun na hoti
hasin andaz-e-dil-nawazi hasin-tar naz barhami ka
ajab hai aalam ajab hai manzar ki sakta meñ hai ye chashm-e-hairat
naqāb ulaT kar vo aa ga.e haiñ to aa.ine gungunā rahe haiñ
ajab hai aalam ajab hai manzar ki sakta mein hai ye chashm-e-hairat
naqab ulaT kar wo aa gae hain to aaine gunguna rahe hain
ye sāneha bhī baḌā ajab hai ki apne aivān-e-rañg-o-bū meñ
haiñ jam.a sab mahr o maah o anjum patā nahīñ phir bhī raushnī kā
ye saneha bhi baDa ajab hai ki apne aiwan-e-rang-o-bu mein
hain jama sab mahr o mah o anjum pata nahin phir bhi raushni ka
āñkhoñ meñ jal rahe the diye e'tibār ke
ehsās-e-zulmat-e-shab-e-hijrāñ nahīñ rahā
aankhon mein jal rahe the diye e'tibar ke
ehsas-e-zulmat-e-shab-e-hijran nahin raha
pūchhtī rahtī hai jo qaisar-o-kisrā kā mizāj
shaan ye ḳhāk-nashīnoñ meñ kahāñ se aa.ī
puchhti rahti hai jo qaisar-o-kisra ka mizaj
shan ye KHak-nashinon mein kahan se aai
fuqdān-e-urūj-e-rasan-o-dār nahīñ hai
mansūr bahut haiñ lab-e-iz.hār nahīñ hai
fuqdan-e-uruj-e-rasan-o-dar nahin hai
mansur bahut hain lab-e-izhaar nahin hai
bazm ko rañg-e-suḳhan maiñ ne diyā hai 'aḳhgar'
log chup chup the mirī tarz-e-navā se pahle
bazm ko rang-e-suKHan main ne diya hai 'aKHgar'
log chup chup the meri tarz-e-nawa se pahle
yād-e-faroġh-e-dast-e-hinā.ī na pūchhiye
har zaḳhm-e-dil ko rashk-e-namak-dāñ banā diyā
yaad-e-farogh-e-dast-e-hinai na puchhiye
har zaKHm-e-dil ko rashk-e-namak-dan bana diya
kushta-e-zabt-e-fuġhāñ naġhma-e-be-sāz-o-sadā
uf vo aañsū jo lahū ban ke Tapaktā hogā
kushta-e-zabt-e-fughan naghma-e-be-saz-o-sada
uf wo aansu jo lahu ban ke Tapakta hoga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhalvat-e-jāñ meñ tirā dard basānā chāhe
dil samundar meñ bhī dīvār uThānā chāhe
KHalwat-e-jaan mein tera dard basana chahe
dil samundar mein bhi diwar uThana chahe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har taraf haiñ ḳhāna-barbādī ke manzar be-shumār
kuchh Thikāna hai bhalā is jazba-e-tāmīr kā
har taraf hain KHana-barbaadi ke manzar be-shumar
kuchh Thikana hai bhala is jazba-e-tamir ka
pal-bhar na bijliyoñ ke muqābil Thahar sake
itnā bhī kam-savād mirā āshiyāñ kahāñ
pal-bhar na bijliyon ke muqabil Thahar sake
itna bhi kam-sawad mera aashiyan kahan
har-chand hama-gīr nahīñ zauq-e-asīrī
har paañv meñ zanjīr hai maiñ dekh rahā huuñ
har-chand hama-gir nahin zauq-e-asiri
har panw mein zanjir hai main dekh raha hun
shadīd tund havā.eñ haiñ kyā kiyā jaa.e
sukūt-e-ġham kī sadā.eñ haiñ kyā kiyā jaa.e
shadid tund hawaen hain kya kiya jae
sukut-e-gham ki sadaen hain kya kiya jae