Sher of Heera Lal Falak Dehlvi
raushnī tez karo chāñd sitāro apnī
mujh ko manzil pe pahuñchnā hai sahar hone tak
raushni tez karo chand sitaro apni
mujh ko manzil pe pahunchna hai sahar hone tak
apnā ghar phir apnā ghar hai apne ghar kī baat kyā
ġhair ke gulshan se sau darja bhalā apnā qafas
apna ghar phir apna ghar hai apne ghar ki baat kya
ghair ke gulshan se sau darja bhala apna qafas
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tan ko miTTī nafas ko havā le ga.ī
maut ko kyā milā maut kyā le ga.ī
tan ko miTTi nafas ko hawa le gai
maut ko kya mila maut kya le gai
haal bīmār kā pūchho to shifā miltī hai
ya.anī ik kalma-e-pursish bhī davā hotā hai
haal bimar ka puchho to shifa milti hai
yani ek kalma-e-pursish bhi dawa hota hai
dekhūñgā kis qadar tirī rahmat meñ josh hai
parvardigār mujh ko gunāhoñ kā hosh hai
i will see to what extent your mercy is sublime
my lord I am aware of the nature of my crime
dekhunga kis qadar teri rahmat mein josh hai
parwardigar mujh ko gunahon ka hosh hai
i will see to what extent your mercy is sublime
my lord I am aware of the nature of my crime
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
mil ke sab amn-o-chain se rahiye
la.anteñ bhejiye fasādoñ par
mil ke sab amn-o-chain se rahiye
lanten bhejiye fasadon par
-
Tag : Peace
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nazroñ meñ husn dil meñ tumhārā ḳhayāl hai
itne qarīb ho ki tasavvur muhāl hai
nazron mein husn dil mein tumhaara KHayal hai
itne qarib ho ki tasawwur muhaal hai
mirā ḳhat paḌh liyā us ne magar ye to batā qāsid
nazar aa.ī jabīñ par buuñd bhī koī pasīne kī
mera KHat paDh liya us ne magar ye to bata qasid
nazar aai jabin par bund bhi koi pasine ki
log andāza lagā.eñge amal se mere
maiñ huuñ kaisā mire māthe pe ye tahrīr nahīñ
log andaza lagaenge amal se mere
main hun kaisa mere mathe pe ye tahrir nahin
ham to manzil ke talabgār the lekin manzil
aage baḌhtī hai ga.ī rāhguzar kī sūrat
hum to manzil ke talabgar the lekin manzil
aage baDhti hai gai rahguzar ki surat
niyyat agar ḳharāb huī hai huzūr kī
ghaḌ lo koī kahānī hamāre qusūr kī
niyyat agar KHarab hui hai huzur ki
ghaD lo koi kahani hamare qusur ki
kyā baat hai nazroñ se añdherā nahīñ jaatā
kuchh baat na kar lī ho shab-e-ġham ne sahar se
kya baat hai nazron se andhera nahin jata
kuchh baat na kar li ho shab-e-gham ne sahar se
maqām-e-barq jise āsmāñ bhī kahte haiñ
irāda ab hai vahāñ apnā ghar banāne kā
maqam-e-barq jise aasman bhi kahte hain
irada ab hai wahan apna ghar banane ka
ai shām-e-ġham kī gahrī ḳhamoshī tujhe salām
kānoñ meñ ek aa.ī hai āvāz duur kī
ai sham-e-gham ki gahri KHamoshi tujhe salam
kanon mein ek aai hai aawaz dur ki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
charāg-e-ilm raushan-dil hai terā
añdherā kar diyā hai raushnī ne
charag-e-ilm raushan-dil hai tera
andhera kar diya hai raushni ne
maiñ tirā jalva tū merā dil hai mere ham-nashīñ
maiñ tirī mahfil meñ huuñ aur tū mirī mahfil meñ hai
main tera jalwa tu mera dil hai mere ham-nashin
main teri mahfil mein hun aur tu meri mahfil mein hai
pahuñcho gar ik chāñd par sau aur aate haiñ nazar
āsmāñ jaane hai kitnī duur tak phailā huā
pahuncho gar ek chand par sau aur aate hain nazar
aasman jaane hai kitni dur tak phaila hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ ne anjām se pahle na palaT kar dekhā
duur tak saath mire manzil-e-āġhāz ga.ī
main ne anjam se pahle na palaT kar dekha
dur tak sath mere manzil-e-aghaz gai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
partav-e-husn huuñ is vāste mahdūd huuñ maiñ
husn ho jā.ūñ to duniyā meñ samā bhī na sakūñ
partaw-e-husn hun is waste mahdud hun main
husn ho jaun to duniya mein sama bhi na sakun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yaad itnā hai mire lab pe fuġhāñ aa.ī thī
phir ḳhudā jaane kahāñ dil kī ye āvāz ga.ī
yaad itna hai mere lab pe fughan aai thi
phir KHuda jaane kahan dil ki ye aawaz gai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab kahe jaao fasāne mirī ġharqābī ke
mauj-e-tūfāñ ko mire haq meñ thā sāhil honā
ab kahe jao fasane meri gharqabi ke
mauj-e-tufan ko mere haq mein tha sahil hona
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vus.at tilism-ḳhāna-e-ālam kī kyā kahūñ
thak thak ga.ī nigāh tamāshe na kam hue
wusat tilism-KHana-e-alam ki kya kahun
thak thak gai nigah tamashe na kam hue