Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Kamran Nafees's Photo'

Kamran Nafees

1977 | Karachi, Pakistan

Sher of Kamran Nafees

84
Favorite

SORT BY

muntazir huuñ tirī āvāz se tasvīr talak

ek vaqfa to darkār thā milne ke liye

muntazir hun teri aawaz se taswir talak

ek waqfa hi to darkar tha milne ke liye

ab haal ye hai ki raat hai aur

sunsān ek rahguzar hai

ab haal ye hai ki raat hai aur

sunsan si ek rahguzar hai

kal dopahar ko saath rahā thā vo der tak

phir us ke baa'd shaam rahī shaam rahī

kal dopahar ko sath raha tha wo der tak

phir us ke ba'd sham rahi sham hi rahi

aañkh ko nam kiye baġhair dil ko burā kiye baġhair

us galī se aa ga.e ham to sadā kiye baġhair

aankh ko nam kiye baghair dil ko bura kiye baghair

us ki gali se aa gae hum to sada kiye baghair

pareshāñ hai bahut is dard se dil

havā Thahre to kuchh tadbīr Thahre

pareshan hai bahut is dard se dil

hawa Thahre to kuchh tadbir Thahre

habs baḌhtā hai aah bharne se

mere hisse saañs mat khīñcho

habs baDhta hai aah bharne se

mere hisse ki sans mat khincho

ye suur hai dūsrī dafa

aur log tamām so rahe haiñ

ye sur hai dusri dafa ka

aur log tamam so rahe hain

vo ik āvāz thī manzil nahīñ thī

magar maiñ us jānib chal paḌā thā

wo ek aawaz thi manzil nahin thi

magar main us ki jaanib chal paDa tha

ye to ham shahr meñ kuchh din se nahīñ haiñ varna

kyā tumhārī vo chalegī jo hamārī chalī hai

ye to hum shahr mein kuchh din se nahin hain warna

kya tumhaari wo chalegi jo hamari chali hai

khel rachā kar shahr ujāḌeñ kaTh-putlī ke saath

lashkar ke sālār tamāshā-gar bhī hote haiñ

khel racha kar shahr ujaDen kaTh-putli ke sath

lashkar ke salar tamasha-gar bhi hote hain

ġham kahāñ dekhne shai hai magar

dīdanī hai vo sogvār nikhār

gham kahan dekhne ki shai hai magar

didani hai wo sogwar nikhaar

aur aatā agar ḳhayāl un

aur sarshār ho ga.e hote

aur aata agar KHayal un ka

aur sarshaar ho gae hote

nazroñ bechain bagūla gard uḌātā phirtā hai

jis mahfil meñ tum nahīñ hote us mahfil ke sahrā meñ

nazron ka bechain bagula gard uData phirta hai

jis mahfil mein tum nahin hote us mahfil ke sahra mein

na ban paḌī koī sūrat to ek din ghar se

maiñ chal diyā kisī nuqsān talāfī meñ

na ban paDi koi surat to ek din ghar se

main chal diya kisi nuqsan ki talafi mein

saf-ba-saf terī mohabbat ne sañbhālā ham ko

aur ham TuuT ke bikhre bhī to yakjā.ī rahī

saf-ba-saf teri mohabbat ne sanbhaala hum ko

aur hum TuT ke bikhre bhi to yakjai rahi

havā Takrā rahī hai canvas se

bikharte rahe haiñ rang saare

hawa Takra rahi hai canwas se

bikharte ja rahe hain rang sare

aur khultī chalī jā.egī shab

ham tirī zulf agar kholte jaa.eñ

aur khulti hi chali jaegi shab

hum teri zulf agar kholte jaen

dil dhaḌakne sabab zindagī ho saktī hai

ye zarūrī to nahīñ hai ki tirī yaad ho

dil dhaDakne ka sabab zindagi ho sakti hai

ye zaruri to nahin hai ki teri yaad hi ho

āḳhirī parinde Dūbtī huī āvāz

shaam hone vaalī hai ab hameñ ijāzat hai

aaKHiri parinde ki Dubti hui aawaz

sham hone wali hai ab hamein ijazat hai

āvāz pe kaun Thertā hai

ruk jāoge ham jahāñ kaheñge

aawaz pe kaun Therta hai

ruk jaoge hum jahan kahenge

tez hotī hai sar-e-shām havā

aur ho jaatī hai saffāk alag

tez hoti hai sar-e-sham hawa

aur ho jati hai saffak alag

us ek lamhe rā.egānī dukh hai saarā

vo terī qurbat meñ jo guzarne se rah gayā thā

us ek lamhe ki raegani ka dukh hai sara

wo teri qurbat mein jo guzarne se rah gaya tha

dikhā.ī bhī nahīñ degī badan ġharqāb kar ke

miyān-e-vasl ik chālāk ḳhaak uḌtī rahegī

dikhai bhi nahin degi badan gharqab kar ke

miyan-e-wasl ek chaalak KHak uDti rahegi

ek dar thā galī meñ vo bhī darvāza huā

jab se har āvāz par be-kār meñ khulne lagā

ek hi dar tha gali mein wo bhi darwaza hua

jab se har aawaz par be-kar mein khulne laga

hamāre chāk-e-garebāñ taar thā ye kabhī

ye jis pharere ko nikle haiñ aap lahrāne

hamare chaak-e-gareban ka tar tha ye kabhi

ye jis pharere ko nikle hain aap lahrane

khiḌkī ye bhārī parda

hijr meñ malmal ho jaatā hai

khiDki ka ye bhaari parda

hijr mein malmal ho jata hai

shajar par jab se harjāne lage haiñ

parinde chhoḌ kar jaane lage haiñ

shajar par jab se harjaane lage hain

parinde chhoD kar jaane lage hain

ḳhat-e-shikasta meñ kyā jaane kab kashīd aa jaa.e

ki saañs rok ke kariyo miyāñ kitābat-e-‘ishq

KHat-e-shikasta mein kya jaane kab kashid aa jae

ki sans rok ke kariyo miyan kitabat-e-‘ishq

aa jaatī haiñ kuchh ḳhushiyāñ andeshoñ meñ

kuchh andeshe ḳhushiyoñ meñ aa jaate haiñ

aa jati hain kuchh KHushiyan andeshon mein

kuchh andeshe KHushiyon mein aa jate hain

maan lenā hai zarūrī jānñe se

tīrgī meñ aa.ine ko dekhnā kyā

man lena hai zaruri jaanne se

tirgi mein aaine ko dekhna kya

maiñ ne hijrat ko likhā vāqi’a-e-gumshudagī

aur paḌāo meñ huī maut ko manzil likkhā

main ne hijrat ko likha waqi’a-e-gumshudagi

aur paDao mein hui maut ko manzil likkha

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now