Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Khaavar Jilani's Photo'

Khaavar Jilani

1962 | Faisalabad, Pakistan

Khaavar Jilani

Ghazal 13

Sher-o-Shayari 14

sabhī kirdār thak kar so ga.e haiñ

magar ab tak kahānī chal rahī hai

sabhi kirdar thak kar so gae hain

magar ab tak kahani chal rahi hai

jiinā to alag baat hai marnā bhī yahāñ par

har shaḳhs apnī zarūrat ke liye hai

jina to alag baat hai marna bhi yahan par

har shaKHs ki apni hi zarurat ke liye hai

vaqt guzar jaatā hai lekin dil ranjish

dil meñ baiThī baiThī rah jaatī hai

waqt guzar jata hai lekin dil ki ranjish

dil mein baiThi ki baiThi hi rah jati hai

sachchā.ī vo jañg hai jis meñ baaz auqāt sipāhī ko

aap muqābil apne DaT jaanā paḌtā hai

sachchai wo jang hai jis mein baz auqat sipahi ko

aap muqabil apne hi DaT jaana paDta hai

vo kuchh se kuchh banā Dālegā taslīmat ke ma.anī

salīqa aa gayā us ko agar inkār karne

wo kuchh se kuchh bana Dalega taslimat ke mani

saliqa aa gaya us ko agar inkar karne ka

Audios 5

ataa ke zor-e-asar se bhii TuuT saktii thii

kuchh bachaa le abhii aa.nsuu mujhe rone vaale

naafe hai kuchh to vo kisii faizaan hii kaa hai

Recitation

More Poets From "Faisalabad"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now