Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Lokesh Tripathi's Photo'

Lokesh Tripathi

1980 | Lucknow, India

Lokesh Tripathi

Ghazal 11

Sher-o-Shayari 10

kamāne aur gañvāne meñ bachā paayā huuñ bas itnā

hamāre ghar purāne dost dekho ab bhī aate haiñ

kamane aur ganwane mein bacha paya hun bas itna

hamare ghar purane dost dekho ab bhi aate hain

ham se hamāre ḳhvāb bhī jab duur ho ga.e

majbūr tab hue yuuñ ki mazdūr ho ga.e

hum se hamare KHwab bhi jab dur ho gae

majbur tab hue yun ki mazdur ho gae

  • Share this

vo zid kartī hai lekin phir achānak maan jaatī hai

mire chehre rangat se vo qīmat jaan jaatī hai

wo zid karti hai lekin phir achanak man jati hai

mere chehre ki rangat se wo qimat jaan jati hai

  • Share this

ham sabhī ākāsh meñ laTke hue

sochte haiñ ki zamīñ pe paañv hai

hum sabhi aakash mein laTke hue

sochte hain ki zamin pe panw hai

  • Share this

ye shaam Dhal rahī thī ki aa.ī ḳhabar burī

paanī ke intizār meñ ik jhiil mar ga.ī

ye sham Dhal rahi thi ki aai KHabar buri

pani ke intizar mein ek jhil mar gai

  • Share this

More Poets From "Lucknow"

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now