Ramzi Asim
Ghazal 11
Sher-o-Shayari 8
dasht kī pyaas kisī taur bujhā.ī jaatī
koī tasvīr hī paanī kī dikhā.ī jaatī
dasht ki pyas kisi taur bujhai jati
koi taswir hi pani ki dikhai jati
-
Share this
- See Ghazal
ishq thā aur aqīdat se milā karte the
pahle ham log mohabbat se milā karte the
ishq tha aur aqidat se mila karte the
pahle hum log mohabbat se mila karte the
-
Share this
- See Ghazal
khīñch laa.ī hai tire dasht kī vahshat varna
kitne dariyā hī mirī pyaas bujhāne aate
khinch lai hai tere dasht ki wahshat warna
kitne dariya hi meri pyas bujhane aate
-
Share this
- See Ghazal
tamām shahr giraftār hai aziyyat meñ
kise kahūñ mire ahbāb kī ḳhabar rakkhe
tamam shahr giraftar hai aziyyat mein
kise kahun mere ahbab ki KHabar rakkhe
-
Share this
- See Ghazal
yā unheñ aatī nahīñ bazm-e-suḳhan-ārā.ī
yā hameñ bazm ke ādāb nahīñ aate haiñ
ya unhen aati nahin bazm-e-suKHan-arai
ya hamein bazm ke aadab nahin aate hain
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 3
ishq thaa aur aqiidat se milaa karte the pahle ham log mohabbat se milaa karte the roz hii saa.e bulaate the hame.n apnii taraf roz ham dhuup kii shiddat se milaa karte the sirf rasta hii nahii.n dekh ke KHush hotaa thaa dar-o-diivaar bhii hasrat se milaa karte the ab to milne ke liye vaqt nahii.n miltaa hai varna ham kitnii suhulat se milaa karte the