Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Majaz Aashna's Photo'

Majaz Aashna

1957 | Burhanpur, India

Renowned poet from Burhanpur, known for his ghazal writing, nazm composition, and creative contributions across diverse poetic genres

Renowned poet from Burhanpur, known for his ghazal writing, nazm composition, and creative contributions across diverse poetic genres

Majaz Aashna

Ghazal 18

Nazm 10

Sher-o-Shayari 15

nashsha-e-shauq-e-safar TuuTā to ehsās huā

jis jagah kā hameñ honā thā vahīñ ke na rahe

nashsha-e-shauq-e-safar TuTa to ehsas hua

jis jagah ka hamein hona tha wahin ke na rahe

  • Share this

na koī ḳhvāb na ḳhvāhish na koī hangāma

ka.ī dinoñ se hai mausam 'ajab udāsī kā

na koi KHwab na KHwahish na koi hangama

kai dinon se hai mausam 'ajab udasi ka

  • Share this

āsmānoñ kī tamannā meñ zamīñ ke na rahe

ḳhvāb vo dekhe the ham ne ki kahīñ ke na rahe

aasmanon ki tamanna mein zamin ke na rahe

KHwab wo dekhe the hum ne ki kahin ke na rahe

  • Share this

abhī to maut ke ḳhvāboñ ke silsile haiñ magar

ham ek roz haqīqat meñ maare jā.eñge

abhi to maut ke KHwabon ke silsile hain magar

hum ek roz haqiqat mein mare jaenge

  • Share this

phir gire haiñ mire ehsās pe patthar ke gulāb

phir mire zehn se risne lagā ḳhush-bū kā lahū

phir gire hain mere ehsas pe patthar ke gulab

phir mere zehn se risne laga KHush-bu ka lahu

  • Share this

BOOKS 3

 

More Poets From "Burhanpur"

Recitation

Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets

Speak Now