Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nadeem Bhabha's Photo'

Nadeem Bhabha

1977 | Lahore, Pakistan

Nadeem Bhabha

Ghazal 26

Sher-o-Shayari 10

mohabbat, hijr, nafrat mil chukī hai

maiñ taqrīban mukammal ho chukā huuñ

mohabbat, hijr, nafrat mil chuki hai

main taqriban mukammal ho chuka hun

ham ġhulāmī ko muqaddar tarah jānte haiñ

ham tirī jiit tirī maat se nikle hue haiñ

hum ghulami ko muqaddar ki tarah jaante hain

hum teri jit teri mat se nikle hue hain

  • Share this

kuchh is liye bhī akelā ho gayā huuñ 'nadīm'

sabhī ko dost banāyā hai dushmanī nahīñ

kuchh is liye bhi akela sa ho gaya hun 'nadim'

sabhi ko dost banaya hai dushmani nahin ki

mohabbat ne akelā kar diyā hai

maiñ apnī zaat meñ ik qāfila thā

mohabbat ne akela kar diya hai

main apni zat mein ek qafila tha

aur koī pahchān mirī bantī nahīñ

jānte haiñ sab log ki bas terā huuñ maiñ

aur koi pahchan meri banti hi nahin

jaante hain sab log ki bas tera hun main

  • Share this

More Poets From "Lahore"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now