Sher of Naseem Ajmal
maiñ ek sham-e-sar-e-rah-guzār huuñ 'ajmal'
na jaane kis liye mujh ko bujhānā chāhtā hai
main ek sham-e-sar-e-rah-guzar hun 'ajmal'
na jaane kis liye mujh ko bujhana chahta hai
-
Tag : Shama
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tasvīr-e-āb tum ko dikhā.eñ bhī kyā ki tum
ā.īna keh rahā hai abhī apne Dar meñ ho
taswir-e-ab tum ko dikhaen bhi kya ki tum
aaina keh raha hai abhi apne Dar mein ho
sunā hai aaj mile ho 'nasīm-ajmal' se
zarā batāo vo ḳhāna-ḳharāb kaisā thā
suna hai aaj mile ho 'nasim-ajmal' se
zara batao wo KHana-KHarab kaisa tha
baḌī mushkiloñ se maiñ soyā thā kal
bahut shor ghar kī divāroñ meñ thā
baDi mushkilon se main soya tha kal
bahut shor ghar ki diwaron mein tha
na koī rang na ḳhushbū na ḳhvāb hai mujh meñ
sabā ye kahtī hai tasvīr-e-āb hai mujh meñ
na koi rang na KHushbu na KHwab hai mujh mein
saba ye kahti hai taswir-e-ab hai mujh mein
hamāre dost yā dushman the kuchh ḳhabar na huī
ye raah roke hue bām-o-dar 'ajīb se the
hamare dost ya dushman the kuchh KHabar na hui
ye rah roke hue baam-o-dar 'ajib se the
pighal ga.e mire andar hazārhā sūraj
ki zulmat-e-shab-e-hastī kī vārdāt huuñ maiñ
pighal gae mere andar hazarha suraj
ki zulmat-e-shab-e-hasti ki wardat hun main
saarā manzar ḳhvāb meñ maujoñ kī tuġhyānī kā thā
maiñ sañbhaltā kyā ki sar par qahqaha paanī kā thā
sara manzar KHwab mein maujon ki tughyani ka tha
main sanbhalta kya ki sar par qahqaha pani ka tha
uḌaan bharte to kuchh log tazkire karte
paroñ pe jam ga.ī gard-e-pas-e-safar kaisī
uDan bharte to kuchh log tazkire karte
paron pe jam gai gard-e-pas-e-safar kaisi
tamām shauq-e-shafaq raah meñ sajā.e hue
maiñ muntazir huuñ tirā kab se rah-guzar roke
tamam shauq-e-shafaq rah mein sajae hue
main muntazir hun tera kab se rah-guzar roke
behis paḌā huā huuñ maiñ lamhoñ kī gard meñ
sadiyoñ kī thī jo mujh meñ kasak kaun le gayā
behis paDa hua hun main lamhon ki gard mein
sadiyon ki thi jo mujh mein kasak kaun le gaya
vo ek TūTte taare kī zau thī jis ko maiñ
samajh rahā thā koī āftāb hai mujh meñ
wo ek TuTte tare ki zau thi jis ko main
samajh raha tha koi aaftab hai mujh mein
abhī to sho'la-e-jāñ meñ lapak nahīñ aa.ī
kuchh aur tez havāoñ ko merī jaañ kar de
abhi to sho'la-e-jaan mein lapak nahin aai
kuchh aur tez hawaon ko meri jaan kar de
bas ik chaTān se Takrā ke bah nikalnā hai
phir us ke baa'd ye merī tirī ḳhabar kaisī
bas ek chaTan se Takra ke bah nikalna hai
phir us ke ba'd ye meri teri KHabar kaisi
dekhne vaale kī nazroñ ne diyā mujh ko fareb
us kī āñkhoñ kā sukūñ kar gayā ġharqāb mujhe
dekhne wale ki nazron ne diya mujh ko fareb
us ki aankhon ka sukun kar gaya gharqab mujhe
barahna thā to añdherā bhī laaj rakh na sakā
milā libās to har shaḳhs rah-guzar kā gayā
barahna tha to andhera bhi laj rakh na saka
mila libas to har shaKHs rah-guzar ka gaya
qadam qadam se milā kar vo chal rahe the bahut
chhupe hue the magar dil meñ Dar qayāmat ke
qadam qadam se mila kar wo chal rahe the bahut
chhupe hue the magar dil mein Dar qayamat ke
ahl-e-dānish bhī jise kuchh nahīñ samjhe vo shaḳhs
jab tire shahr meñ pohñchā to tamāsha Thahrā
ahl-e-danish bhi jise kuchh nahin samjhe wo shaKHs
jab tere shahr mein pohncha to tamasha Thahra
mujhe vujūd kā apne huā hai tab ehsās
palaT ke aa.ī chaTānoñ se jab sadā merī
mujhe wujud ka apne hua hai tab ehsas
palaT ke aai chaTanon se jab sada meri
vo apnī aañkh chehra haat paañv
safar meñ zindagī ke kho chukā hai
wo apni aankh chehra hat panw
safar mein zindagi ke kho chuka hai
dafn kar de mujhe chaTānoñ meñ
aur āñkheñ ḳhalāoñ meñ khole
dafn kar de mujhe chaTanon mein
aur aankhen KHalaon mein khole
aañkh chehra haath paañv ḳhuun se lat-pat haiñ sab
lo milo mujh se ki maiñ huuñ ik samar tanhā.ī kā
aankh chehra hath panw KHun se lat-pat hain sab
lo milo mujh se ki main hun ek samar tanhai ka
le ga.e chun chun ke 'ajmal' sāhibān-e-'aql-o-hosh
mere hisse meñ bache haiñ harf-e-laġhzīda tamām
le gae chun chun ke 'ajmal' sahiban-e-'aql-o-hosh
mere hisse mein bache hain harf-e-laghzida tamam
fikr ke chāñd ubharte haiñ mire siine se
maujeñ letā huā mā'nī kā samundar huuñ maiñ
fikr ke chand ubharte hain mere sine se
maujen leta hua ma'ni ka samundar hun main
us kī jumbish-e-mizhgāñ mujh se hī muḳhātib thī
vāris-e-qalam thā maiñ kho gayā savāloñ meñ
us ki jumbish-e-mizhgan mujh se hi muKHatib thi
waris-e-qalam tha main kho gaya sawalon mein
bujhā.e jā rahe the kitne sūraj
samundar bhī 'ajab haijān meñ thā
bujhae ja rahe the kitne suraj
samundar bhi 'ajab haijaan mein tha
raushnī de na sake raat se kuchh le na sake
ye sitāre to faqat shor machāne aa.e
raushni de na sake raat se kuchh le na sake
ye sitare to faqat shor machane aae
tumhārī raah meñ hogā kisī khañDar kā ḳhauf
hamāre sāmne apnī sadā kā Dar hai bahut
tumhaari rah mein hoga kisi khanDar ka KHauf
hamare samne apni sada ka Dar hai bahut