aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1991 | Kasur, Pakistan
ham ko ḳhushiyāñ bhī udāsī ke lifāfe meñ milīñ
ham sā bad-baḳht zamāne meñ nahīñ hai koī
hum ko KHushiyan bhi udasi ke lifafe mein milin
hum sa bad-baKHt zamane mein nahin hai koi
tumhāre saath ik duniyā khaḌī hai
hamāre saath to ham bhī nahīñ haiñ
tumhaare sath ek duniya khaDi hai
hamare sath to hum bhi nahin hain
hamāre baa'd bhī tum qahqahe lagāte ho
tumhāre baa'd to ham baat bhī nahīñ karte
hamare ba'd bhi tum qahqahe lagate ho
tumhaare ba'd to hum baat bhi nahin karte
maiñ kaaTā jā.ūñgā sab ko 'azīz hote hue
saḌak ke biich meñ aayā huā daraḳht huuñ maiñ
main kaTa jaunga sab ko 'aziz hote hue
saDak ke bich mein aaya hua daraKHt hun main
zeb detā hai use itnā taġhāful mujh se
vo kahīñ aur bhī masrūf-e-vafā hai shāyad
zeb deta hai use itna taghaful mujh se
wo kahin aur bhi masruf-e-wafa hai shayad
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books