Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Obaid Haris's Photo'

Obaid Haris

1990 | Maharashtra, India

Obaid Haris

Ghazal 6

Sher-o-Shayari 9

ham kitāboñ meñ jise paate haiñ 'hāris'

aadmī vaisā koī miltā kahāñ hai

hum kitabon mein jise pate hain 'haaris'

aadmi waisa koi milta kahan hai

  • Share this

inheñ aage nikal jaane do 'hāris'

balā.eñ kab se pīchhā kar rahī haiñ

inhen aage nikal jaane do 'haaris'

balaen kab se pichha kar rahi hain

  • Share this

ḳhālī dīvār burī lagtī hai

merī tasvīr rahne dete

KHali diwar buri lagti hai

meri taswir hi rahne dete

  • Share this

kholo na koī aib kisī bhī yahāñ par

aaseb ko mil jā.egā darvāza khulā

kholo na koi aib kisi ka bhi yahan par

aaseb ko mil jaega darwaza khula sa

  • Share this

tah-ba-tah khultī rahtī hai sadā

'mīr' ke dīvān hai zindagī

tah-ba-tah khulti hi rahti hai sada

'mir' ke diwan si hai zindagi

  • Share this

BOOKS 3

 

RELATED Poets

More Poets From "Maharashtra"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now