Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sabir's Photo'

Sabir

1975 | Aurangabad, India

Sher of Sabir

713
Favorite

SORT BY

chilchilātī-dhūp thī lekin thā saaya ham-qadam

sā.ebāñ chhāñv ne mujh ko akelā kar diyā

chilchilati-dhup thi lekin tha saya ham-qadam

saeban ki chhanw ne mujh ko akela kar diya

tire tasavvur dhuup oḌhe khaḌā huuñ chhat par

mire liye sardiyoñ mausam zarā alag hai

tere tasawwur ki dhup oDhe khaDa hun chhat par

mere liye sardiyon ka mausam zara alag hai

rakhe rakhe ho ga.e purāne tamām rishte

kahāñ kisī ajnabī se rishta nayā banā.eñ

rakhe rakhe ho gae purane tamam rishte

kahan kisi ajnabi se rishta naya banaen

saare manzar hasīn lagte haiñ

dūriyāñ kam na hoñ to behtar hai

sare manzar hasin lagte hain

duriyan kam na hon to behtar hai

mujh se kal mahfil meñ us ne muskurā kar baat

vo mirā ho nahīñ saktā ye pakkā kar diyā

mujh se kal mahfil mein us ne muskura kar baat ki

wo mera ho hi nahin sakta ye pakka kar diya

ham us ḳhātir bachā na pā.eñge umr apnī

fuzūl-ḳharchī ham ko aadat ho ga.ī hai

hum us ki KHatir bacha na paenge umr apni

fuzul-KHarchi ki hum ko aadat si ho gai hai

ye kārobār-e-mohabbat hai tum na samjhoge

huā hai mujh ko bahut fā.eda ḳhasāre meñ

ye karobar-e-mohabbat hai tum na samjhoge

hua hai mujh ko bahut faeda KHasare mein

hañs hañs ke us se bāteñ kiye rahe ho tum

'sābir' vo dil meñ aur kuchh sochtā na ho

hans hans ke us se baaten kiye ja rahe ho tum

'sabir' wo dil mein aur hi kuchh sochta na ho

sabhī musāfir chaleñ agar ek ruḳh to kyā hai mazā safar

tum apne imkāñ talāsh kar lo mujhe parinde pukārte haiñ

sabhi musafir chalen agar ek ruKH to kya hai maza safar ka

tum apne imkan talash kar lo mujhe parinde pukarte hain

saiñt kar īmān kuchh din aur rakhnā hai abhī

āj-kal bāzār meñ mandī hai sastā hai abhī

saint kar iman kuchh din aur rakhna hai abhi

aaj-kal bazar mein mandi hai sasta hai abhi

fasl boī bhī ham ne kaaTī bhī

ab na kahnā zamīn banjar hai

fasl boi bhi hum ne kaTi bhi

ab na kahna zamin banjar hai

us ke shar se maiñ sadā māñgtā rahtā huuñ panāh

isī duniyā se mohabbat bhī balā hai mujhe

us ke shar se main sada mangta rahta hun panah

isi duniya se mohabbat bhi bala ki hai mujhe

yahāñ pe hañsnā ravā hai ronā hai be-hayā.ī

suqūt-e-shahr-e-junūñ mātam zarā alag hai

yahan pe hansna rawa hai rona hai be-hayai

suqut-e-shahr-e-junun ka matam zara alag hai

ye kyā bad-mazāqī hai gard jhāḌte kyuuñ ho

is makān-e-ḳhasta meñ yaar ham bhī rahte haiñ

ye kya bad-mazaqi hai gard jhaDte kyun ho

is makan-e-KHasta mein yar hum bhi rahte hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now