Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Sahar Alig

1998 | Aligarh, India

One of the emerging poetic voices of the new generation.

One of the emerging poetic voices of the new generation.

Sher of Sahar Alig

sharm-o-hayā ne baaz rakhā is qadar hameñ

saayā bhī un kā dekh ke ham sar-nigūñ kareñ

sharm-o-haya ne baz rakha is qadar hamein

saya bhi un ka dekh ke hum sar-nigun karen

ek motī huuñ maiñ motī bhī baḌā qīmtī huuñ

par vo motī jo abhī gum hai samundar meñ kahīñ

ek moti hun main moti bhi baDa qimti hun

par wo moti jo abhi gum hai samundar mein kahin

shāhzāde hoñ valī hoñ ki suḳhan-dān-e-shahr

jab vo dikhtā hai koī aur kahāñ dikhtā hai

shahzade hon wali hon ki suKHan-dan-e-shahr

jab wo dikhta hai koi aur kahan dikhta hai

ye jabr hai 'izzat hai mohabbat hai ki kyā hai

bantī hī nahīñ aap se inkār kī sūrat

ye jabr hai 'izzat hai mohabbat hai ki kya hai

banti hi nahin aap se inkar ki surat

Dhal ga.ī vasl kī shab Duub gayā dil kā charāġh

ab vahīñ baiThe raheñ aap jahāñ the baiThe

Dhal gai wasl ki shab Dub gaya dil ka charagh

ab wahin baiThe rahen aap jahan the baiThe

maiñ duniyā chāhtī huuñ na duniyā kī rif'ateñ

merī talab najāt hai bas aur kuchh nahīñ

main duniya chahti hun na duniya ki rif'aten

meri talab najat hai bas aur kuchh nahin

DhūñDā kiye ḳhudā ko magar mil nahīñ sakā

masjid meñ but-kade meñ kalīsā meñ dair meñ

DhunDa kiye KHuda ko magar mil nahin saka

masjid mein but-kade mein kalisa mein dair mein

apne ajdād kī dastār ko dekhā aur phir

kar liyā dil kī tamanna se kināra maiñ ne

apne ajdad ki dastar ko dekha aur phir

kar liya dil ki tamanna se kinara main ne

Recitation

Speak Now