Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sarfaraz Shahid's Photo'

Sarfaraz Shahid

Islamabad, Pakistan

Renowned humorous poet and editor of a literary magazine ‘Khushnuma’ based on humour and satire.

Renowned humorous poet and editor of a literary magazine ‘Khushnuma’ based on humour and satire.

Sher of Sarfaraz Shahid

722
Favorite

SORT BY

bajaT ka.ī saḳhtiyāñ aur bhī haiñ

''abhī ishq ke imtihāñ aur bhī haiñ''

bajaT ki kai saKHtiyan aur bhi hain

abhi ishq ke imtihan aur bhi hain

faqat rañg un kaalā nahīñ hai

isī qism ḳhūbiyāñ aur bhī haiñ

faqat rang hi un ka kala nahin hai

isi qism ki KHubiyan aur bhi hain

is daur ke mardoñ jo shakl-shumārī

sābit huā duniyā meñ ḳhvātīn bahut haiñ

is daur ke mardon ki jo ki shakl-shumari

sabit hua duniya mein KHwatin bahut hain

koī ḳhush-zauq 'shāhid' ye nukta jaan saktā hai

ki mere sher aur naḳhre tumhāre ek jaise haiñ

koi KHush-zauq hi 'shahid' ye nukta jaan sakta hai

ki mere sher aur naKHre tumhaare ek jaise hain

surūr-e-jāñ-fazā detī hai āġhosh-e-vatan sab ko

ki jaise bhī hoñ bachche maañ ko pyāre ek jaise haiñ

surur-e-jaan-faza deti hai aaghosh-e-watan sab ko

ki jaise bhi hon bachche man ko pyare ek jaise hain

aise lage hai naukrī māl-e-harām ke baġhair

jaise ho 'dāġh' ġhazal baada o jaam ke baġhair

aise lage hai naukri mal-e-haram ke baghair

jaise ho 'dagh' ki ghazal baada o jam ke baghair

rāz-o-niyāz meñ bhī akaḌ-fūñ nahīñ ga.ī

vo ḳhat bhī likh rahā hai to chālān tarah

raaz-o-niyaz mein bhi akaD-fun nahin gai

wo KHat bhi likh raha hai to chaalan ki tarah

murġh par fauran jhapaT dāvat meñ varna ba.ad meñ

shorba aur gardanoñ haDDiyāñ rah jā.eñgī

murgh par fauran jhapaT dawat mein warna baad mein

shorba aur gardanon ki haDDiyan rah jaengi

saare shikve duur ho jaa.eñ jo qudarat sauñp de

merī dānā.ī tujhe aur terī nādānī mujhe

sare shikwe dur ho jaen jo qudarat saunp de

meri danai tujhe aur teri nadani mujhe

'shāhid'-sāhib kahlāte haiñ mister bhī maulānā bhī

hazrat do kirdāroñ vaale herā-pherī karte haiñ

'shahid'-sahib kahlate hain mister bhi maulana bhi

hazrat do kirdaron wale hera-pheri karte hain

iid par masrūr haiñ donoñ miyāñ biivī bahut

ik ḳharīdārī se pahle ik ḳharīdārī ke ba.ad

id par masrur hain donon miyan biwi bahut

ek KHaridari se pahle ek KHaridari ke baad

ham ne to unheñ jāmia se naqd ḳharīdā

phir kis tarah ja.alī huiiñ asnād hamārī

hum ne to unhen jamia se naqd KHarida

phir kis tarah jali huin asnad hamari

specialist pain-killer de to kaun saa?

''sāre jahāñ dard hamāre jigar meñ hai''

specialist pain-killer de to kaun sa?

sare jahan ka dard hamare jigar mein hai

avāmunnās ko aise dabochā hai girānī ne

ki jaise cat ke panje meñ koī rat hotā hai

awamunnas ko aise dabocha hai girani ne

ki jaise cat ke panje mein koi rat hota hai

kuchh mah-jabīñ libās ke fashion dauḌ meñ

pābandī-e-libās se aage nikal ga.e

kuchh mah-jabin libas ke fashion ki dauD mein

pabandi-e-libas se aage nikal gae

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now