Sher of Shamim Akram Rahman
zindagī kī mushkileñ haiñ ik taraf
ik taraf paiġhām-e-rab lā-taqnatū
zindagi ki mushkilen hain ek taraf
ek taraf paigham-e-rab la-taqnatu
na jaane kitne savālāt haiñ mire uupar
javāb likhne se behtar hai chup rahā jaa.e
na jaane kitne sawalat hain mere upar
jawab likhne se behtar hai chup raha jae
is liye ḳhāmosh rahtā huuñ sadā
āgahī ne maar Daalā hai mujhe
is liye KHamosh rahta hun sada
aagahi ne mar Dala hai mujhe
-
Tag : Consciousness
mālik-e-kun ye terī marzī hai
saiñkaḌoñ ġham hoñ aur dil bas ek
malik-e-kun ye teri marzi hai
sainkaDon gham hon aur dil bas ek
phail jā.egī mohabbat chār-sū
ik guzārish hai ki urdu sīkhiye
phail jaegi mohabbat chaar-su
ek guzarish hai ki urdu sikhiye
na koī pīr-e-muġhāñ hai na koī rind-e-ḳharāb
sabhī mafād ke bande sabhī haiñ zar ke ġhulām
na koi pir-e-mughan hai na koi rind-e-KHarab
sabhi mafad ke bande sabhi hain zar ke ghulam
musalsal hārtā hī jā rahā huuñ
chhupā hai āstīñ meñ saañp koī
musalsal haarta hi ja raha hun
chhupa hai aastin mein sanp koi
haif un be-shu'ūr logoñ par
jo tire lams se rahe mahrūm
haif un be-shu'ur logon par
jo tere lams se rahe mahrum
naam le saktā huuñ qātil kā magar ḳhauf hai ye
shahr meñ aur ka.ī log na maare jaa.eñ
nam le sakta hun qatil ka magar KHauf hai ye
shahr mein aur kai log na mare jaen