Sher of Shehla Kaleem
bazm-e-falak meñ kaun hai us kī rā'nā.ī kā mahram-e-rāz
kis ko apne dāman-e-dil ke daaġh dikhā.egā mahtāb
bazm-e-falak mein kaun hai us ki ra'nai ka mahram-e-raaz
kis ko apne daman-e-dil ke dagh dikhaega mahtab
kyā pā sakegī duniyā hamāre dukhoñ kā ramz
rote haiñ qahqahoñ se to hañste haiñ phuuT ke
kya pa sakegi duniya hamare dukhon ka ramz
rote hain qahqahon se to hanste hain phuT ke
ai naqsh-gar yaqīn kar achchhā nahīñ banā
lā phir se kā.enāt kā naqsha banā.ūñ maiñ
ai naqsh-gar yaqin kar achchha nahin bana
la phir se kaenat ka naqsha banaun main
bachchoñ ke haath meñ bhalā dete haiñ aisī chiiz
dekho ḳharāb ho ga.ī mujh se ye zindagī
bachchon ke hath mein bhala dete hain aisi chiz
dekho KHarab ho gai mujh se ye zindagi
hāsil huā hai tujh ko mujhī se shu'ūr-e-zāt
maiñ terā aa.ina huuñ mirā ehtirām kar
hasil hua hai tujh ko mujhi se shu'ur-e-zat
main tera aaina hun mera ehtiram kar
mo'jizāt-e-dast-e-kun dekhnā thā so ham ne
pattharoñ pe de maarā ḳhud ko ā.īna kar ke
mo'jizat-e-dast-e-kun dekhna tha so hum ne
pattharon pe de mara KHud ko aaina kar ke
kūza-gar kis ko mayassar rahī fursat terī
kyoñ hameñ chaak se 'ujlat meñ utārā tū ne
kuza-gar kis ko mayassar rahi fursat teri
kyon hamein chaak se 'ujlat mein utara tu ne
palaT ke harzā-sarāoñ ko kis liye duuñ javāb
bhalā batāo ye laa.iq haiñ muñh lagāne ke
palaT ke harza-saraon ko kis liye dun jawab
bhala batao ye laiq hain munh lagane ke
agar maiñ chāhūñ bas ik chaal se ulaT duuñ bisāt
mujhe ḳhabar hai kahāñ kis ne daao khelā hai
agar main chahun bas ek chaal se ulaT dun bisat
mujhe KHabar hai kahan kis ne dao khela hai
shikastagī thī kuchh aisī ki kūza-gar merā
banā ke mujh ko baḌī der tak udaas rahā
shikastagi thi kuchh aisi ki kuza-gar mera
bana ke mujh ko baDi der tak udas raha