Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Siraj Aurangabadi's Photo'

Siraj Aurangabadi

1712 - 1764 | Aurangabad, India

Sufi poet known for his widely sung ghazal 'Khabar-e-tahayyur-e-ishq'

Sufi poet known for his widely sung ghazal 'Khabar-e-tahayyur-e-ishq'

Sher of Siraj Aurangabadi

4.9K
Favorite

SORT BY

is adab-gāh kuuñ tuuñ masjid-e-jāme mat buujh

shaiḳh be-bāk na gosha-e-mai-ḳhāne meñ

is adab-gah kun tun masjid-e-jame mat bujh

shaiKH be-bak na ja gosha-e-mai-KHane mein

tujh zulf meñ dil ne gum kiyā raah

is prem galī kuuñ intihā na.iiñ

tujh zulf mein dil ne gum kiya rah

is prem gali kun intiha nain

tirī abrū hai mehrāb-e-mohabbat

namāz-e-ishq mere par huī farz

teri abru hai mehrab-e-mohabbat

namaz-e-ishq mere par hui farz

na būjho āsmāñ par tum sitāre

hamārī aah chingāriyāñ haiñ

na bujho aasman par tum sitare

hamari aah ki chingariyan hain

but-parastoñ kuuñ hai īmān-e-haqīqī vasl-e-but

barg-e-gul hai bulbuloñ kuuñ jald-e-qur.ān-e-majīd

but-paraston kun hai iman-e-haqiqi wasl-e-but

barg-e-gul hai bulbulon kun jald-e-quran-e-majid

zindagānī dard-e-sar hai yaar bin

kui hamāre sar kuuñ aa kar jhaaḌ de

zindagani dard-e-sar hai yar bin

kui hamare sar kun aa kar jhaD de

niyāz-e-be-ḳhudī behtar namāz-e-ḳhud-numā.ī siiñ

na kar ham puḳhta-maġhzoñ siiñ ḳhayāl-e-ḳhām ai vaa.iz

niyaz-e-be-KHudi behtar namaz-e-KHud-numai sin

na kar hum puKHta-maghzon sin KHayal-e-KHam ai waiz

jāñ-sapārī daaġh katthā chūnā hai chashm-e-intizār

vāste mehmān ġham ke dil hai biiḌā paan

jaan-sapari dagh kattha chuna hai chashm-e-intizar

waste mehman gham ke dil hai biDa pan ka

jab siiñ laayā ishq ne fauj-e-junūñ

aql ke lashkar meñ bhāgā bhaag hai

jab sin laya ishq ne fauj-e-junun

aql ke lashkar mein bhaga bhag hai

junūñ ke shahr meñ niiñ kam-ayār kuuñ hurmat

maiñ naqd-e-qalb kuuñ kāñTe meñ dil ke tol chukā

junun ke shahr mein nin kam-ayar kun hurmat

main naqd-e-qalb kun kanTe mein dil ke tol chuka

taaza rakh āb-e-mehrbānī siiñ

ek dil sau chaman barābar hai

taza rakh aab-e-mehrbani sin

ek dil sau chaman barabar hai

nazar aatā nahīñ mujh kuuñ sabab kyā

mirā nāzuk badan haihāt haihāt

nazar aata nahin mujh kun sabab kya

mera nazuk badan haihat haihat

musta.id huuñ tire zulfoñ siyāhī le kar

safha-e-nāma-e-āmāl kuuñ kaalā karne

mustaid hun tere zulfon ki siyahi le kar

safha-e-nama-e-amal kun kala karne

ishq donoñ taraf suuñ hotā hai

kyuuñ baje ek haat suuñ taalī

ishq donon taraf sun hota hai

kyun baje ek hat sun tali

jiinā taḌap taḌap kar marnā sisak sisak kar

fariyād ek hai kyā kyā ḳharābiyoñ meñ

jina taDap taDap kar marna sisak sisak kar

fariyaad ek ji hai kya kya KHarabiyon mein

hai navāsanj-e-haqīqat kuuñ ḳhayāl

dil ke tambūre taar aur hai

hai nawasanj-e-haqiqat kun KHayal

dil ke tambure ka tar aur hi hai

muftī-e-nāz ne diyā fatvā

ḳhūn-e-āshiq halāl kartā hai

mufti-e-naz ne diya fatwa

KHun-e-ashiq halal karta hai

hiran sab haiñ barātī aur divāna ban dūlhā hai

pahar ḳhil.at kuuñ uryānī phirtā hai banā chhailā

hiran sab hain baraati aur diwana ban ka dulha hai

pahar KHilat kun uryani ki phirta hai bana chhaila

jis kuuñ tujh ġham siiñ dil-shigāfī hai

marham-e-vasl is kuuñ shāfī hai

jis kun tujh gham sin dil-shigafi hai

marham-e-wasl is kun shafi hai

shor hai bas-ki tujh malāhat

dil hamārā huā hai kān-e-namak

shor hai bas-ki tujh malahat ka

dil hamara hua hai kan-e-namak

masjid meñ tujh bhañvoñ ai qibla-e-dil-o-jāñ

palkeñ haiñ muqtadī aur putlī imaam goyā

masjid mein tujh bhanwon ki ai qibla-e-dil-o-jaan

palken hain muqtadi aur putli imam goya

kyūñki hove zāhid ḳhud-bīñ murīd-e-zulf-e-yār

us ne saarī umr meñ zunnār kuuñ dekhā na thā

kyunki howe zahid KHud-bin murid-e-zulf-e-yar

us ne sari umr mein zunnar kun dekha na tha

sanam kis band siiñ pahuñchūñ tire paas

hazāroñ band haiñ terī qabā ke

sanam kis band sin pahunchun tere pas

hazaron band hain teri qaba ke

mire siiñ duur kyā chāhte haiñ sāya-e-ishq

jite haiñ shahr ke siyāne hue haiñ dīvāne

mere sin dur kya chahte hain saya-e-ishq

jite hain shahr ke siyane hue hain diwane

muvāfaqat kare kyuuñ mai-kashoñ satī zāhid

idhar sharāb udhar masjid-o-musallā hai

muwafaqat kare kyun mai-kashon sati zahid

idhar sharab udhar masjid-o-musalla hai

hijr rātoñ meñ lāzim hai bayān-e-zulf-e-yār

niiñd to jaatī rahī hai qissa-ḳhvānī kījiye

hijr ki raaton mein lazim hai bayan-e-zulf-e-yar

nind to jati rahi hai qissa-KHwani kijiye

tire salām ke dhaj dekh kar mire dil ne

shitāb aaqā mujhe ruḳhsatī salām kiyā

tere salam ke dhaj dekh kar mere dil ne

shitab aaqa mujhe ruKHsati salam kiya

ġhair taraf kyūñki nazar kar sakūñ

ḳhauf hai tujh ishq ke jāsūs

ghair taraf kyunki nazar kar sakun

KHauf hai tujh ishq ke jasus ka

ai aql nikal ki dhuāñ aah nahīñ hai

ye ishq ke lashkar sipāhī nazar aa.ī

ai aql nikal ja ki dhuan aah ka nahin hai

ye ishq ke lashkar ki sipahi nazar aai

tire suḳhan meñ ai nāseh nahīñ hai kaifiyyat

zabān-e-qulqul-e-mīnā siiñ sun kalām-e-sharāb

tere suKHan mein ai naseh nahin hai kaifiyyat

zaban-e-qulqul-e-mina sin sun kalam-e-sharab

muddat se gum huā dil-e-begāna ai 'sirāj'

shāyad ki lagā hai kisī āshnā ke haath

muddat se gum hua dil-e-begana ai 'siraj'

shayad ki ja laga hai kisi aashna ke hath

vasl ke din shab-e-hijrāñ haqīqat mat pūchh

bhuul jaanī hai mujhe sub.h kuuñ phir shaam baat

wasl ke din shab-e-hijran ki haqiqat mat puchh

bhul jaani hai mujhe subh kun phir sham ki baat

kufr-o-īmāñ do nadī haiñ ishq kiiñ

āḳhirash dono sañgam hovegā

kufr-o-iman do nadi hain ishq kin

aaKHirash dono ka sangam howega

maktab meñ mire junūñ ke majnūñ

nādān hai tifl-e-abjadī hai

maktab mein mere junun ke majnun

nadan hai tifl-e-abjadi hai

pakḌā huuñ kināra-e-judā.ī

jaarī mire ashk nadī hai

pakDa hun kinara-e-judai

jari mere ashk ki nadi hai

maktab-e-ishq moallim huuñ

kyuuñ na ho.e dars-e-yār takrār

maktab-e-ishq ka moallim hun

kyun na hoe dars-e-yar ki takrar

pech khā khā kar hamārī aah meñ girheñ paḌīñ

hai yahī sumran tirī darkār koī maalā nahīñ

pech kha kha kar hamari aah mein girhen paDin

hai yahi sumran teri darkar koi mala nahin

mujh kuuñ har aan tire dard siiñ bahbūdī hai

ishq-bāzī meñ ruḳh-e-zard zar-e-sūdī hai

mujh kun har aan tere dard sin bahbudi hai

ishq-bazi mein ruKH-e-zard zar-e-sudi hai

dil mirā zulf setī chhūT phañsā abrū meñ

kufr kuuñ tark kiyā mā.il-e-mehrāb huā

dil mera zulf seti chhuT phansa abru mein

kufr kun tark kiya mail-e-mehrab hua

kabhī tum mom ho jaate ho jab maiñ garm hotā huuñ

kabhī maiñ sard hotā huuñ to tum bhaḌkāo karte ho

kabhi tum mom ho jate ho jab main garm hota hun

kabhi main sard hota hun to tum bhaDkao karte ho

hākim-e-ishq ne jab aql taqsīr sunī

ho ġhazab hukm diyā des nikālā karne

hakim-e-ishq ne jab aql ki taqsir suni

ho ghazab hukm diya des nikala karne

bagūlā jin ke sar par chatr-e-shāhī hai zamīñ masnad

vahī aqlīm-e-ġham meñ aah naubat bajāte haiñ

bagula jin ke sar par chatr-e-shahi hai zamin masnad

wahi aqlim-e-gham mein aah ki naubat bajate hain

dil meñ aa rāh-e-chashm-e-hairāñ siiñ

khul rahe haiñ mirī palak ke paaT

dil mein aa rah-e-chashm-e-hairan sin

khul rahe hain meri palak ke paT

khul ga.e us zulf ke dekhe

pech-e-dastār-e-zāhid-e-makkār

khul gae us ki zulf ke dekhe

pech-e-dastar-e-zahid-e-makkar

ai shoḳh gulistāñ maiñ nahīñ ye gul-e-rañgīñ

aayā dil-e-sad-chāk mirā rañg badal kar

ai shoKH gulistan main nahin ye gul-e-rangin

aaya dil-e-sad-chaak mera rang badal kar

qātil ne adā kiyā jab vaar uchhal kar

maiñ ne sipar-e-dil kuuñ kiyā oT sambhal kar

qatil ne ada ka kiya jab war uchhal kar

main ne sipar-e-dil kun kiya oT sambhal kar

masjid abrū meñ terī mardumuk hai jiyūñ imaam

mū-e-mizhgāñ muqtadī ho mil ke karte haiñ namāz

masjid abru mein teri mardumuk hai jiyun imam

mu-e-mizhgan muqtadi ho mil ke karte hain namaz

aa.ī hai tire ishq baazī dil-o-jāñ par

is vaqt nazar kab hai mujhe sūd-o-ziyāñ par

aai hai tere ishq ki bazi dil-o-jaan par

is waqt nazar kab hai mujhe sud-o-ziyan par

jis kuuñ piv ke hijr bairāg hai

aah majlis meñ us raag hai

jis kun piw ke hijr ka bairag hai

aah ka majlis mein us ki rag hai

tahqīq nazar siiñ āḳhir kuuñ ham ne dekhā

akasr haiñ maal vaale kam haiñ kamāl vaale

tahqiq ki nazar sin aaKHir kun hum ne dekha

akasr hain mal wale kam hain kamal wale

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now