aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Zeba

Sher of Zeba

661
Favorite

SORT BY

huā hai ishq meñ kam husn-e-ittifāq aisā

ki dil ko yaar to dil yaar ko pasand huā

hua hai ishq mein kam husn-e-ittifaq aisa

ki dil ko yar to dil yar ko pasand hua

pahle kyā thā jo kiyā karte the tārīf mirī

ab huā kyā jo burā ho gayā achchhā ho kar

pahle kya tha jo kiya karte the tarif meri

ab hua kya jo bura ho gaya achchha ho kar

aap ko kho ke tum ko DhūñDh liyā

hausla thā ye mere dil

aap ko kho ke tum ko DhunDh liya

hausla tha ye mere hi dil ka

nahīñ hai fursat yahīñ ke jhagḌoñ se fikr-e-uqbā kahāñ vaa.iz

azāb-e-duniyā hai ham ko kyā kam savāb ham le ke kyā kareñge

nahin hai fursat yahin ke jhagDon se fikr-e-uqba kahan ki waiz

azab-e-duniya hai hum ko kya kam sawab hum le ke kya karenge

ḳhudā bhī nahīñ sunte haiñ ye but

bhalā maiñ kyā huuñ merī iltijā kyā

KHuda ki bhi nahin sunte hain ye but

bhala main kya hun meri iltija kya

jism-e-anvar latāfat sanā kyā kiije

jāma-e-yār na utrā kabhī mailā ho kar

jism-e-anwar ki latafat ki sana kya kije

jama-e-yar na utra kabhi maila ho kar

ye baat baat pe zāhid jo TuuT jaatā hai

dil-e-hazīñ bhī hamārā tirā vuzū kyā hai

ye baat baat pe zahid jo TuT jata hai

dil-e-hazin bhi hamara tera wuzu kya hai

zāhid mujhe na māne-e-sharb-e-sharāb ho

aisā na ho savāb ke badle azaab ho

zahid mujhe na mane-e-sharb-e-sharab ho

aisa na ho sawab ke badle azab ho

kisī mahbūb-e-gandum-gūñ ulfat meñ guzarte haiñ

dam apnā jism se ḳhuld se aadam nikaltā hai

kisi mahbub-e-gandum-gun ki ulfat mein guzarte hain

dam apna jism se ya KHuld se aadam nikalta hai

mujhe kyuuñ aaj hichkī aa rahī hai

koī yaad aa.ī aur un ko jafā kyā

mujhe kyun aaj hichki aa rahi hai

koi yaad aai aur un ko jafa kya

hañs ke phūloñ ko vo kareñge subuk

rañg uḌā.eñge ham anādil

hans ke phulon ko wo karenge subuk

rang uDaenge hum anadil ka

kyūñkar karūñ maiñ tark sharāb-o-kabāb ko

zāhid hai yaad hukm-e-kulū-vashrabū mujhe

kyunkar karun main tark sharab-o-kabab ko

zahid hai yaad hukm-e-kulu-washrabu mujhe

butān-e-hind mire dil meñ haiñ dar aa.e hue

ḳhudā ke ghar ko ghar apnā haiñ ye banā.e hue

butan-e-hind mere dil mein hain dar aae hue

KHuda ke ghar ko ghar apna hain ye banae hue

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now