Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Zubair Qaisar's Photo'

Zubair Qaisar

1975 | Attock, Pakistan

Zubair Qaisar

Ghazal 17

Sher-o-Shayari 6

maiñ us ke jaal meñ ā.ūñgā dekhnā 'qaisar'

vo mujh ko dhoke se ghar meñ bulā ke māregā

main us ke jal mein aaunga dekhna 'qaisar'

wo mujh ko dhoke se ghar mein bula ke marega

shikasta ḳhvāb mire ā.īne meñ rakkhe haiñ

ye kyā azaab mire aa.ine meñ rakkhe haiñ

shikasta KHwab mere aaine mein rakkhe hain

ye kya azab mere aaine mein rakkhe hain

sub.h tak be-talab maiñ jāgūñgā

aaj to be-sabab maiñ jāgūñgā

subh tak be-talab main jagunga

aaj to be-sabab main jagunga

tirā javāb mire kaam nahīñ hai ab

ki maiñ to bhuul chukā huuñ savāl vaise

tera jawab mere kaam ka nahin hai ab

ki main to bhul chuka hun sawal waise hi

ye nafsiyātī marīzoñ shahr hai 'qaisar'

koī savāl uThāoge maare jāoge

ye nafsiyati marizon ka shahr hai 'qaisar'

koi sawal uThaoge mare jaoge

More Poets From "Attock"

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now