SEARCH RESULTS
Showing search results for "baab"
MOST RELEVANT MATCHES FOR "baab"
Ghazal
jasta jasta pa.Dh liyaa karnaa mazaamiin-e-vafaa
par kitaab-e-ishq kaa har baab mat dekhaa karo
Ahmad Faraz
PAGE MATCHES FOR "baab"
DICTIONARY MATCHES
MORE MATCHES FOR "baab"
Ghazal
harf-e-taaza na.ii KHushbuu me.n likhaa chaahtaa hai
baab ik aur mohabbat kaa khulaa chaahtaa hai
Parveen Shakir
Ghazal
jo munkir-e-vafaa ho fareb us pe kyaa chale
kyuu.n bad-gumaa.n huu.n dost se dushman ke baab me.n
Mirza Ghalib
Ghazal
vo kha.Daa hai ek baab-e-ilm kii dahliiz par
mai.n ye kahtaa huu.n use is KHauf me.n daaKHil na ho
Muneer Niyazi
Ghazal
soch rakhnaa bhii jaraa.em me.n hai shaamil ab to
vahii ma.asuum hai har baat pe jo saad kare
Parveen Shakir
Ghazal
ab yaa.n se kaun de mirii chashm-e-talab ko daad
jis faasle se baab-e-talab dekhtaa huu.n mai.n
Shaheen Abbas
Ghazal
kal ke liye kar aaj na KHissat sharaab me.n
ye suu-e-zan hai saaqi-e-kausar ke baab me.n












