Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mohammad Yunus Butt's Photo'

Mohammad Yunus Butt

1962 | Lahore, Pakistan

Mohammad Yunus Butt

Quote 24

Kahaawat hai, “der aayad durust aayad.” Apni aamad durust saabit karne ka ab eik hi tareeqa hai, der se aayen.

  • Share this

Kahte hain cigarette ke doosre sire par jo raakh hoti hai, dar-asl woh peene waale ki hoti hai.

Eik khatoon ne hone waاle khaاwind se kaha, “shaadi ke baad main aapke dukh baanta karungi.” Usne kaha, “magar mujhe to koi dukh nahi.” To woh boli, “main shaadi ke baad ki baat kar rahi hoon.” Shaayad isiliye har siyaasatdaan yahi kahta hai agar main jeet gaya to aapke dukh baantoonga.

Auron ki aadhi umr to apni umr kam karne mein guzar jaati hai. Eik mulaazimat ke interview ke dauraan interview lene waale ne poocha, “Mohtarma aapki umr?” Jawaab mila, “19 saal kuch maheene.” Poocha, “Kitne maheene?” Jawaab mila, “Chhiyaanve maheene!”

Cigarette hai kya? Kaaghaz ki eik naali jiske eik sire par sho'la aur doosre par eik naadaan hota hai. Kahte hain cigarette ke doosre sire par jo raakh hoti hai, dar-asl woh peene waale ki hoti hai. Aish tray woh jagah hai jahaan aap ye raakh us waqt daalte hain jab aapke paas farsh na ho. Waise to cigarette peene waale ke liye poori duniya aish tray hi hoti hai balki hote-hote ye haal ho jaata hai ki woh cigarette munh mein rakh kar samajhta hai aish tray mein rakha hai. Rudyard Kipling kahta hai ki eik aurat sirf eik aurat hoti hai jabki accha cigaar bas dhuaan hota hai. Duniya ka sabse mahnga cigarette aapka pahla cigarette hota hai, baad mein sab sasta ho jaata hai yahaan tak ki peene waala bhi.

Tanz-o-Mazah 18

BOOKS 4

More Authors From "Lahore"

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now