- Index of Books 186660
-
-
Book Categories
-
Activities27
Children's Literature2027
Life Style22 Medicine998 Movements298 Novel4891 -
Book Categories
- Bait Bazi14
- Catalogue / Index5
- Couplets68
- Deewan1474
- Doha51
- Epics106
- Exegesis204
- Geet62
- Ghazal1233
- Haiku12
- Hamd50
- Humorous37
- Intikhab1612
- Keh mukarni7
- Kulliyat698
- Mahiya19
- Majmua5132
- Marsiya391
- Masnavi855
- Musaddas58
- Naat580
- Nazm1271
- Others77
- Paheli16
- Qasida191
- Qawwali18
- Qit'a68
- Quatrain301
- Quintuple16
- Rekhti13
- Remainders27
- Salaam35
- Sehra9
- shahr-Ashob, Hajw, Zatal Nama20
- Tareekh-Goi30
- Translation74
- Wasokht27
Quotes of Mohammad Yunus Butt
Kahaawat hai, “der aayad durust aayad.” Apni aamad durust saabit karne ka ab eik hi tareeqa hai, der se aayen.

Kahte hain cigarette ke doosre sire par jo raakh hoti hai, dar-asl woh peene waale ki hoti hai.

Eik khatoon ne hone waاle khaاwind se kaha, “shaadi ke baad main aapke dukh baanta karungi.” Usne kaha, “magar mujhe to koi dukh nahi.” To woh boli, “main shaadi ke baad ki baat kar rahi hoon.” Shaayad isiliye har siyaasatdaan yahi kahta hai agar main jeet gaya to aapke dukh baantoonga.

Auron ki aadhi umr to apni umr kam karne mein guzar jaati hai. Eik mulaazimat ke interview ke dauraan interview lene waale ne poocha, “Mohtarma aapki umr?” Jawaab mila, “19 saal kuch maheene.” Poocha, “Kitne maheene?” Jawaab mila, “Chhiyaanve maheene!”

Gadhe aur insaan mein ye farq hai ki gadha cigarette nahi peeta aur jhoot nahi bol sakta.

Cigarette hai kya? Kaaghaz ki eik naali jiske eik sire par sho'la aur doosre par eik naadaan hota hai. Kahte hain cigarette ke doosre sire par jo raakh hoti hai, dar-asl woh peene waale ki hoti hai. Aish tray woh jagah hai jahaan aap ye raakh us waqt daalte hain jab aapke paas farsh na ho. Waise to cigarette peene waale ke liye poori duniya aish tray hi hoti hai balki hote-hote ye haal ho jaata hai ki woh cigarette munh mein rakh kar samajhta hai aish tray mein rakha hai. Rudyard Kipling kahta hai ki eik aurat sirf eik aurat hoti hai jabki accha cigaar bas dhuaan hota hai. Duniya ka sabse mahnga cigarette aapka pahla cigarette hota hai, baad mein sab sasta ho jaata hai yahaan tak ki peene waala bhi.

Jitni der aap doosron se intezaar karwaate hain, dar-asal utni der aap unse apna zikr karwaate hain.

Mard ki umr woh hoti hai jo woh mahsoos karta hai aur aurat ki woh jo aap mahsoos karte hain.

Aham aadmi us waqt aata hai jab sab aa chuke hote hain aur uski aamad ka intezaar kar rahe hote hain. Der se aana dar-asl aam se khaas hone ka amal hai.

Iski udaasi bhi eik udaasi hi hoti hai. Poocho, “mohabbat kaise shuroo hoti hai?” to kahegi, “mohabbat 'm' se shuroo hoti hai.” Kisi ne kaha ke miyan-biwi ke jhagde mein saalis bachche hote hain, to kahne lagi bilkul ghalat, miyan-biwi ke jhagde mein saalis raat hoti hai. Kahti hai, “mard aur aurat ki sonch eik jaisi hoti hai, aurat mard se sona maangti hai aur mard bhi badle mein sona hi chaahta hai.”

Insani umr ki sirf teen hi sooratein hain. Jo aani, jawaani aur jo aayi.

Lecturer ki taa'reef ye hai ki woh shakhs jo doosron ki neend mein bolta hai.

Kahte hain pehle aadmi cigarette ko peeta hai, phir cigarette cigarette ko peeta hai aur aakhir mein cigarette aadmi ko peeta hai. Lekin phir bhi ye haqeeqat hai ki itne log cigarette se nahi marte jitne cigarette par marte hain. Angrezi mein ise smoking kahte hain logon ko shaayad smoking pasand hi isliye hai ki is mein “king” aata hai lekin is daur mein “king” kaheen ke nahi rahe. So lagta hai an‑qareeb dhuaan dene wale afraad ka bhi chauraahon mein chaallaan hua karega.

Agar koi adaakaara ko libaas ke baghair dekh kar khush na ho to yaqeen kar len, woh jeb-katra hai.

Eik saahab kah rahe the, “cigarette peene se aadat nahi padti kyun ki main guzishta bees saalon se cigarette pee raha hoon, mujhe to aadat nahin padi.” Maine kaha, “phir tum cigarette chhod kyun nahi dete.” Bole, “sabhi kahte hain cigarette na peena sood-mand hai aur main sood ke bahut khilaaf hoon.”

Paan khaane mein unhone Ph.D ki hai, gilauri munh mein yun dabaate hain jaise clerk file dabaate hain.

Nayi nasl ko cigarette se bezaar karne ka tareeqa ye hai ki cigarette peena nisaab mein shaamil kar diya jaaye. Taaham jo shaadi‑shuda use chhodna chaahte hain woh cigarette ki dibbi mein biwi ki tasveer rakha karein.

Cigarette hai kya? Kaaghaz ki eik nali jiske eik sire par sho'la aur doosre par ek naadaan hota hai.

Jail aur ghar mein ye farq hai ki woh ghar jahaan bande ki marzi na chale woh jail hai. Shaadi ke baad dono mein farq karna mushkil ho jaata hai.

Mere eik dost ne cigarette-noshi chhodne ka waa’da kiya. Agle roz aakar kahne laga ki maine aadha waa’da poora kar diya hai, baaqi aadha rah gaya hai. Maine poochha, “kaise?” Kahne laga, “tumse cigarette-noshi chhodne ka waa’da kiya tha, noshi ko chhod diya. Cigarette rah gayi, woh bhi chhod doonga.” Waise uske cigarette chhodne ka eik hi tareeqa hai ki woh qasam khaaye ki aainda kabhi kisi se cigarette nahi maangega.

Duniya ka sabse mahnga cigarette aapka pahla cigarette hota hai, baad mein sab sasta ho jaata hai yahaan tak ki peene waala bhi.

Eik dafaa “f” use milne gaya to woh nange pair darwaaza kholne aayi. Uske pair thodhi tak nange the.

Peer dekhne mein siyaasat-daan nahi lagte aur bolne mein peer nahi lagte.

join rekhta family!
Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here
-
Activities27
Children's Literature2027
-